Follow Us on Facebook! Kalaam E Raza On Google Play Store

Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Unki Rasaai Hai

Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Unki Rasaai Hai

Gar Unki Rasaai Hai Lo Jab To Ban Aayi Hai

 

Machla Hai Ke Rehmat Ne Ummeed Bandhaai Hai

Kya Baat Teri Mujrim Kya Baat Banaai Hai

 

Sab Ne Saf E Mehshar Mein Lalkaar Diya Hum Ko

Aye Bekaso(N) Ke Aaqa Ab Teri Duhaai Hai

 

Yun To Sab Unhi Ka Hai Par Dil Ki Agar Poocho

Yeh Toote Hue Dil Hi Khaas Unki Kamaai Hai

 

Zaair Gaye Bhi Kab Ke Din Dhalne Pe Hai Pyaare

Uth Mere Akele Chal Kya Der Lagaai Hai

 

Baazar E Amal Mein Toh Sauda Na Bana Apna

Sarkar Karam Tujh Mein Aibee Ki Samaai Hai

 

Girte Huwo Ko Muzda Sajde Mein Gire Maula

Ro Ro Ke Shafa’at Ki Tamheed Uthaai Hai

 

Aye Dil Yeh Sulagna Kya Jalna Hai To Jal Bhi Uth

Dum Ghutne Laga Zaalim Kya Dhooni Ramaai Hai

 

Mujrim Ko Na Sharmao Ahbaab Kafan Dhak Do

Munh Dekh Ke Kya Hoga Parde Mein Bhalaai Hai

 

Ab Aap Hi Sambhalein Toh Kaam Apne Sambhal Jaayein

Humne To Kamai Sab Khelon Mein Ganwaai Hai

 

Aye Ishq Tere Sadqe Jalne Se Chhute Saste

Joh Aag Bujha Degi Woh Aag Lagaai Hai

 

Hirso Hawas E Bad Se Dil Tu Bhi Sitam Kar Le

Tu Hi Nahi Beygana Dunya Hi Paraai Hai

 

Hum Dil Jale Hain Kiske Hat Fitnon Ke Parkaale

Kyun Phoonk Du Ik Ufs Se Kya Aag Lagaai Hai

 

Taiba Na Sahi Afzal Makkah Hi Bada Zaahid

Hum Ishq Ke Bande Hain Kyun Baat Badhaai Hai

 

Matl'A Mein Yeh Shak Kya Tha Wallah Raza Wallah

Sirf Unki Rasaai Hai Sirf Unki Rasaai Hai

Tum Chalo Hum Chalein Sab Madine Chalein

Tum Chalo Hum Chalein Sab Madine Chalein
Jaanib E Taybah Sab Ke Safeene Chalein

Maikasho! Aao Aao Madine Chalein
Baada E Khuld Ke Jaam Peene Chalein

Jee Gaye Wo Madine Mein Jo Marr Gaye
Aao Hum Bhi Wahaa(N) Mar Ke Jeene Chalein

Taahir E Jaa(N) Madine Ko Jab Udd Chalaa
Zindagi Se Kaha Zindagi Ne Chalein

Raah E Taybah Mein Jab Naatwaa(N) Reh Gaye
Dil Ko Kheenche Kaha Be Kali Ne Chalein

Khaaq E Taybah Mein Apni Jagah Ho Gayi
Khoob Muzda Sunaaya Khushi Ne Chalein

Agley Pichley Sabhi Khuld Mein Chal Diye
Rouz E Mehshar Kahaa Jab Nabi Ne Chalein

Un Ki Shaan E Karam Ki Kashish Dekhna
Kaasa Lekar Kahaa Khusrawi Ne Chalein

Akhtar E Khasta Bhi Khuld Mein Chal Diya
Jab Sadaa Di Usey Murshidi Ne Chalein

Tumhaare Dar Pe Jo Main Baryaab Ho Jaau

  Tumhaare Dar Pe Jo Main Baryaab Ho Jaau

Qasam Khuda Ki Shaha Kaamyaab Ho Jaau


Jo Paau Bosa E Paa E Huzoor Kya Kehna

Main Zarra Shams O Qamar Ka Jawab Ho Jaau


Meri Haqeeqat E Faani Bhi Kuch Haqeeqat Hai

Maru(n) To Aaj Khayal Aur Khwaab Ho Jaau


Jahaan Ke Qaus O Qaza Se Farayb Khaye Kyun

Main Apne Qalb O Nazar Ka Hijaab Ho Jaau


Jahaan Ki Bigdi Isi Aastane Se Banti Hai

Main Kyu Na Waqf Dar E AanJanaab Ho Jaau


Tumhara Naam Liya Hai Talatam E Ghum Mein

Main Ab To Paar Risaalat Ma-aab Ho Jaau


Ye Meri Doori Badal Jaaye Qurb Se Akhtar

Agar Woh Chahein To Mein Baryaab Ho Jaau

Hai Lab E Isa Se Jaa(n) Bakhshi Nirali Haath Mein

 Hai Lab E Isa Se Jaa(n) Bakhshi Nirali Haath Mein

Sang Reze Paate Hai Sheeri(n) Maqaali Haath Mein


Be Nawaaon Ki Nigaahein Hain Kahaa Tehreer E Dast

Reh Gayi Jo Paa Key Jood E Laa Yazaali Haath Mein


Kya Lakeero(n) Mein Yadullah Khat Sar O Aasa Likha

Raah Yu(n) Iss Raaz Likhne Ki Nikali Haath Mein


Jood Shah E Kousar Apne Pyaso(n) Ka Juya Hai Aap

Kya Ajab Udd Kar Jo Aap Aayein Pyaali Haath Mein


Abre Nisyaa(n) Mo'mino(n) Ko Taigh E Uriyaa(n) Kufr Par

Jam'a Hain Shaan E Jamaali O Jalaali Haath Mein


Maalik E Qounain Hai Go Paas Kuch Rakhte Nahi

Do Jahaa(n) Ki Ne'amatein Hai Unke Khaali Haath Mein


Saaya Afgan Sarr Pe Ho Parcham Ilahi Jhoom Kar

Jab Liwa Ul Hamd Le Ummat Ka Waali Haath Mein


Har Khat E Kaff Hai Yahaa(n) Ay Dast E Bayza E Kaleem

Mo'jazan Dariya E Noor Be Misaali Haath Mein


Wo Giraa Sangi E Qadr E Mas Wo Arzaani E Jood

Nauiya Badla Kiye Sang O La-Aali Haath Mein


Dastageer E Har Do Aalam Kar Diya Sibtain Ko

Ay Mein Qurbaa(n) Jaan E Jaa(n) Angusht Kya Li Haath Mein


Aah Wo Aalam Ki Aankhein Band Aur Lab Par Durood

Wakf E Sang E Dar Jabee(n) Rouze Ki Jaali Haath Mein


Jiss Ne Bai'at Ki Bahaar E Husn Par Qurbaa(n) Raha

Hain Lakeer E Naqsh E Taskheer E Jamaali Haath Mein


Kaash Ho Jau(n) Lab E Kousar Mein Yu Warafta Hosh

Le Kar Uss Jaan E Karam Ka Zail E Aali Haath Mein


Aankh Mahw E Jalwa E Deedar Dil Purjosh E Wajd

Lab Pe Shukr E Bakhshish E Saaqi Piyali Haath Mein


Hashr Mein Kya Kya Mazee Waraftagi Ke Lu Raza

Lout Jaun Paa Ke Woh Daama(n) E Aali Haath Mein

Nabi Ka Saani Nahi Hai Dhundhte Reh Jaoge

Nabi Ka Saani Nahi Hai Dhundhte Reh Jaoge
Noor Ka Aisa Sarapa Dhundhte Reh Jaoge
Saaya Mere Mustafa Ka Dhundhte Reh Jaoge

Naat Ki Aadat Humein Jannat Talak Le Jayegi
Tum Kitabo Mein Hawala Dhundhte Reh Jaoge

Shamiyana E Muhammad Hashr Mein Dega Panah
Munkiro Uss Din Bhi Saaya Dhundhte Reh Jaoge

Sar Kataye Ghar Lutaye Ahle Bait E Mustafa
Hashr Tak Aisa Gharana Dhundhte Reh Jaoge

Jo Bhi Gustakhi Karega Ayesha Ki Shaan Mein
Iss Tarah Gaadenge Zinda Dhundhte Reh Jaoge

Hazrat E Shabbir Ne Sajdah Jo Karbal Mein Kiya
Hai Ye Daawa Aisa Sajdah Dhundhte Reh Jaoge

Mat Jalo Ghousul Wara Se Warna Phir Rouze Jaza
Muh Chupane Ka Thikana Dhundhte Reh Jaoge

Lautna Taybah Se Qaatib Aashiqon Se Poochiye
Sabz Ghumbad Ka Nazara Dhundhte Reh Jaoge


Audio credits: Safa Islamic

Dar E Sarkaar Pe Jaane Ki Dua Achhi Hai

Dar E Sarkaar Pe Jaane Ki Dua Achhi Hai
Phir Waha Ja Ke Jo Aa Jaaye Qazaa Achhi Hai

Jis Zamee(n) Ne Tere Talwo Ke Liye Hai Bosey
Qasam ALLAH Ki Khaaq E Kaf E Paa Achhi Hai

Rouza E Paak E Payambar Se Jo Mass Ho Ke Chale
Rooh E Muztar Ke Liye Aisi Dawaa Achhi Hai

Isliye Malte They Zakhmo(n) Pe Lu-aab Hazrat Ka
Hai Sahaba Ka Aqeeda Ye Dawa Achhi Hai

Naam E Hazrat Pe Jo Sarr Apna Kataa Dete Hain
Jaan Lo Aysi Fanaa Mein Hi Baqaa Achhi Hai

Khud Khuda Aur Nabi Tujhse Hayaa Karte Hain
Mere Usmaan Teri Sharm O Hayaa Achhi Hai

Ibn Abbas Tere Rukh Ko Kabhi Maa Ko Takein
Bole Tere Rukh E Roushan Ki Ziyaa Achhi Hai

Kaash Mil Jaaye Madine Ka Mujhe Parwaana
Dil E Salmaan Yahi Harf E Dua Achhi Hai


Bul Hawas Sun Seem O Zar Ki Bandagi Achhi Nahi

Bul Hawas Sun Seem O Zar Ki Bandagi Achhi Nahi
Unn Ke Darr Ki Bheek Achhi Sarwari Achhi Nahi

Sarwari Kya Cheez Hai Unn Ki Gadaai Ke Huzoor
Unn Ke Darr Ki Bheek Achhi Sarwari Achhi Nahi

Unn Ki Chaukhat Choom Kar Khud Keh Rahi Hai Sarwari
Unn Ke Darr Ki Bheek Achhi Sarwari Achhi Nahi

Sarwari Khud Hai Bhikaaran Bandagaan E Shah Ki
Unn Ke Darr Ki Bheek Achhi Sarwari Achhi Nahi

Sarwari Paa Kar Bhi Kehte Hain Gadayaan E Huzoor
Unn Ke Darr Ki Bheek Achhi Sarwari Achhi Nahi

Taaj Khud Raa Kaasa Karda Goyad E(n) Jaa Tajwar
Unn Ke Darr Ki Bheek Achhi Sarwari Achhi Nahi

Taaj Ko Kaasa Bana Kar Taajwar Kehte Hain Yu(n)
Unn Ke Darr Ki Bheek Achhi Sarwari Achhi Nahi

Mufti E A'azam Yakee Az Mardmaan E Mustafa
Uss Razaa'i Mustafa Se Dushmani Achhi Nahi

Hujjatul Islaam Ay Hamid E Raza Baba E Mann
Tum Ko Bin Dekhe Hamari Zindagi Achhi Nahi

Khaak E Taybah Ki Talab Main Khaak Ho Ye Zindagi
Khaak E Tibah Achhi Apni Zindagi Achhi Nahi

Aarzu Mandaan E Ghul Kaanto(n) Se Bachte Hain Kahin
Khaar E Taybah Se Teri Pehlo Tahi Achhi Nahi

Dasht E Taybah Ke Fidaayi Se Jinaa(n) Ka Tazkira
Jo Rulaa De Khun Aisi Dil Lagi Achhi Nahi

Dasht E Taybah Chor Kar Mai Sayr E Jannat Ko Chalu
Rehne Dijiye Shaykh Ji Deewangi Achhi Nahi

Jo Junoon E Khuld Mein Kawwo(n) Ko De Baithe Dharam
Ayse Andhe Shaykh Ji Ki Payrwi Achhi Nahi

Aql Cho Paayo(n) Ko De Baithey Hakeem E thanvi
Mai Na Kehta Tha Ke Sohbat Dev Ki Achhi Nahi

Yaad E Jaanaa Mein Ma'azAllah Hasti Ki Khabar
Yaad E Jaanaa Mein Kisi Se Aag'ee Achhi Nahi

Shaam E Hijraa(n) Mein Hame Hai Justuju Uss Mehr Ki
Chaudhawi Ke Chaand Teri Chaandni Achhi Nahi

Tauq E Tehzeeb E Farangi Tod Daalo Mo'mino
Teergi Anjaam Hai Ye Roushni Achi Nahi

Shaakh E Ghul Par Hi Banayenge Anaadil Aashiya(n)
Barq Se Keh Do Ke Humsee Zidd Teri Achhi Nahi

Jo Piya Mann Bhaaye Akhtar Wo Suhaana Raag Hai
Jis Se Na-Khush Ho Piya Wo Raagini Achhi Nahi