Chand Se Unke Chehre Par Ghesue Mushk Faam Do

Chand Se Unke Chehre Par Ghesue Mushk Faam Do
Din Hai Khila Hua Magar Waqte Sahar Hai Sham Do


Talwo Se Unke Chaar Chand Lag Gaye Mahromah Ko
Hai Yeh Unhi Ki Tabishe Aur Hain Unhi Ke Naam Do


Haatho Se Chaar Yaar Ke Hum Ko Milenge Chaar Jaam
Daste Hasan Husain Se Aur Milenge Jaam Do


Unki Jabeen E Naaz Par Zulf E Siyaah Bikhar Gayi
Jam'a Hain Ek Waqt Me Jiddain E Subha Wa Shaam Do


Zaate Hasan Husain Hai Ahle Shabeehe Mustafa
Zaat Hain Ek Nabi Ki Zaat Aur Hain Unhi Ke Naam Do


Ab To Madine Lo Bula Gumbad E Sabz Do Dikha
Haamid O Mustafa Tere Hind Me Hain Ghulaam Do


Kalaam By Hamid Raza Khan Rehmatullah Alaih

11 comments:

mohsin raza khan said...

Khair se din KHUDA wo laye dono haram hame dikhaye
zamzam o beer e fatimah k piyenge chall ke jaam do

abulhasnat said...

subhan Allah. Is naat ki talash bohat ki aakhir allah ka karam hua aur mil gayi.
bohat bohat shukriya.

Unknown said...

Zaate Hasan Husain Hai
"ayen" shabeeh e Musatafa
Zaat Hai Ek Nabi Ki Zaat
Hain Ye Unhi Ke Naam Do

Ab To Madeena Lo Bula
Gumbade Sabz Do Dikha
Haamid o Musatafa Raza
Hind me Hain Gulaam Do

Mubin Ashrafi said...

Mashaallah

Unknown said...

Mashallah Subhan Allah

Unknown said...

..... ...... .....
Qatra Do Qatra hi sahi kuch to baraye Naam Do

Unknown said...

MashaAllah subhaanAllah

Unknown said...

Very heart touching naat

Article writer said...

Need its translation,,, if someone has, plz share here

Unknown said...

Jajak Allah mashallah bahut hi pyara naat

Unknown said...

Pee key pila ket ma'e kasho
Kuch tou bachi kuchi he do
Qatra do qatra he sahi
Kuch tou bara e e naam do

Facebook Blogger Plugin: Bloggerized by AllBlogTools.com Enhanced by MyBloggerTricks.com

Post a Comment