Zameen maili nahi hoti


Zameen mali nahi hoti, zaman maila nahin hota
Muhammad 
صلی اللہ علیہ وسلم kay gulamon ka kafan maila nahi hota.

Mohabbat Kamli wale say, woh jazba hai suno logo
Yeh jis man main sama jaaye, woh mann maila nahi hota.

Gulon ko choom laite, hain seharnam shabnami qatre
Nabi 
صلی اللہ علیہ وسلم ki naat sun lein tu, chaman maila nahi hota.

Jo Naam-e-Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم chumein, nahi dukhti kabhi ankhein
Pehen le pyaar jo Unka, badan maila nahi hota.

Nabi صلی اللہ علیہ وسلم ka daman-e-rehmat pakar lo aey jahan walo
Rahe jab tak yeh hathon main, chalan maila nahi hota.

Main nazan tu nahi fanpan magar Nasir yeh dawa hai
Sana-e-Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم karne se fan maila nahi hota.

9 comments:

dar qadir said...

beatiful naat

Musafir said...

Who is the author of this kalam?

Musafir said...

Who wrote this kalam?

Anonymous said...

Good naat

Unknown said...

Masha Allah bahut Acha

Mumtaz said...

Ala hazrat Ahmed Raza khan

Unknown said...

Nice

Unknown said...

nice dear Be healthy always

Unknown said...

Mujaaddide din e millet parwanaye shame risalat ashamed e mahe nabuwat ash sha ahmed raza khan barely shareef

Facebook Blogger Plugin: Bloggerized by AllBlogTools.com Enhanced by MyBloggerTricks.com

Post a Comment