Humko Bulana Ya Rasulallah صلی اللہ علیہ وسلم


Hum ko bulana Ya Rasool Allah 
Hum ko bulana Ya Habib Allah 
 
Kabhi to sabz gumbad ka ujala hum bhi dekhein ge
Hamein bulwaein gay Aaqa madina hum bhi dekhein ge
 
Dhadak uthay ga yeh dil ya dharakna bhool jaye ga
Dil e bismil ka us dar par tamasha hum bhi dekhain ge
 
Adab say hath bandhay unkay rozay per kharay houn ge
Sunehri jaliyoon ka youn nazara hum bhi dekhein ge.
 
Dar e dolat say loutaya nahin jata koi khali
Wahan khairat ka batna Khudaya hum bhi dekhein ge
 
Barasti gunbad e khazra say takrati hoi boundein
Vahan per shaan say barish barasna hum bhi dekhein ge
 
Guzaray raat din apnay isi umeed per hum nay
Kisi din to jamal e ruey zaiba hum bhi dekhein ge
 
Dam e rukhsat qadam maan bhar kay hein mehsoos kertay hain
Kisay hai jakay lout aanay ka yara hum bhi dekhein gae
 
Puhanch jayein gay jis din aie ujagar unkay qadmoon main
Kisay kehtay hain janat ka nazarah hum bhi dekhein ge

0 comments:

Facebook Blogger Plugin: Bloggerized by AllBlogTools.com Enhanced by MyBloggerTricks.com

Post a Comment