parho durood kay molood ki ghari aayi (with audio)


parho durood kay molood ki ghari aayi

har ek saa’at-o-lamha hai qeemti is ka
har ek raat se barh kar mila isay rutba
isi liye to ye shab behtreen kehlaayi


Khuda ka shukr karo or parho durood un per
k aaj laaye hain tashreef hadi-o-rehbar
zamanay bhar mein hai mash’hoor jin ki yaktayi



chhatay hain badal-e-ghum khushian sath laayi hain
har ek chehray pe ab muskurahat aayi hai
har ek dil mein khushi ki baji hai shehnai


jahan mein subz parchamon ki bahar aayi hai
or aashiqon ne makaan har gali sajaai hai
hai shaad shaad nabi ka har ek tamannayi

jahan goonj utha marhaba k naaron se
khushi hai kaisi na poocho ye ghum k maaron se
yehi wohi raat hai jo kaif ka samaan layi

unhi k dar se darya-e-jood behtay hain
wo aaye jo nahi saail ko nahi kehte hain
sakhawat aisi ataa Rab ne in ko farmayi

shab-e-wiladat-e-sarkar ka hai ye sadqa
k mil gaya hai sana ka ubaid ko jazba
musafir is ki ye mehnat jabeen to rang laayi

Audio Credit: owaisqadri.com

0 comments:

Facebook Blogger Plugin: Bloggerized by AllBlogTools.com Enhanced by MyBloggerTricks.com

Post a Comment