ARZO-SAMAA BANAY HAIN


Arz-O-Sama Banay Hain Issi Noor Ke Tufail
Taaray Chamak Rahay Hain Issi Noor Ke Tufail
Gulshan Haray Bharay Hain Issi Noor Ke Tufail
Dono Jahan Sajay Hain Issi Noor Ke Tufail
Iss Noor Ka Azal Se Abad Tak Hai Silsila
Ye Noor Who Hai Jiss Ka Taraf Daar Hai Khuda

Aaya Hai Rah-e-Raast Dikhanay Ke Waastay
Bando Ko Unke Rab Se Milanay Ke Waastay
Bunyaad But Kadoon Ki Giraanay Ke Waastay
Rasm-O-Riwaaj Kufr Mitaanay Ke Waastay
Insaan Ko Bandagi Ka Saleeqa Sikhaye Ga
Ye Noor Zulmatoon Ko Ujaalay Banaye Ga

Guftaar Lajawaab Hai Kirdaar Bay Nazeer
Haami Sitam Zadoon Ka Yateemon Ka Dastageer
Halqa Bagosh Iske Hain Kya Shah Kya Faqeer
Insaan Reh Sakay Ga Na Insaan Ka Aseer
Bhooka Rahe Ga Khud Who Jahan Ko Khilaye Ga
Woh Apnay Dushmano Ko Galay Se Lagaye Ga

Peghaam-e-Haq Ye Saaray Jahan Ko Sunaye Ga
Keena Zadoon Ko Rushk-e-Gulistan Banaye Ga
Har Gaam Rehmaton Ke Khazanay Lutaye Ga
Insaan Ko Ye Dars-e-Akhuwat Sikhayega
Dega Kuch Iss Adaa Se Peghaam-e-Dosti
Zehno Se Door Kardega Sadiyon Ki Dushmani

Yeh Sahib-e-Jamal Hai Ye Sahib-e-Kamal
Khush Dil Hai Khush Pasand Khush Khulq Khush Khisaal
Khalaaq-e-Dou Jahan Ki Hai Takhleeq-e-Bay Misaal
Mumkin Nahin Hai Isko Kissi Dor Mein Zawaal
Roshn Karega Rushdo Hidayat Ke Woh Diye
Bun Jayeingay Sabaq Jou Har Dor Ke Liye

Beshak Yehi Hai Bayiss-e-Takhleeq-e-Kainaat
Chamkay Ga Iske Husn Se Har Gosha-e-Hayaat
Rasikh Hai Iska Qol Tou Sachi Hai Har Ik Baat
Dil Mein Hai Iske Rehem Nazar Mein Iltifaat
Iske Karam Ki Hadh Hai Na Koi Hisaab Hai
Jiss Par Nigaah Daal De Woh Aftaab Hai

Aaya Hai Muflison Ki Himayat Liye Huay
Mazloom-O-Bekasoon Ki Mohabbat Liye Huay
Ahl-e-Gunaah Ke Haq Mein Shifa’at Liye Huay
Saaray Jahan Ke Liye Rehmat Liye Huay
Hoga Iski Zaat Par Qur’an Ka Nuzool
Woh Aakhri Kitaab Hai Ye Aakhri Rasool

3 comments:

Unknown said...

MashaAllah mera all tym fav kalam

Ghosia mehria library said...

سرکار کی آمد مرحبا صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم

Unknown said...

mashallah

Facebook Blogger Plugin: Bloggerized by AllBlogTools.com Enhanced by MyBloggerTricks.com

Post a Comment