Wah Kya Judoo Karam Hain (complete) (with audio)


Wah Kya Joodo Karam Hain Shahe Bat-Ha Tera
Nahi Sunta Hi Nahi Maangne Waala Tera

Dhaare Chalte Hain Ataa Ke Wo Hain Qatra Tera
Tare Khilte Hain Sakhaa Ke Wo Hain Zar-ra Tera

Faiz Hain Ya Shahe Tasneem Nirala Tera
Aap Pyaso Ke Tajas-sus Me Hain Dariya Tera

Agniya(n) Palte Hain Dar Se Wo Hain Bada Tera
Asfiya Chalte Hain Sar Se Wo Hain Rasta Tera

Farsh Waale Teri Shaukat Ka Uloo Kya Jaane
Khusrava Arsh Pe Udta Hain Pharera Tera

Aasmaa(n) Khwan, Zamee(n) Khwan Zamana Mehmaan
Sahibe Khana Laqab Kiska Hain Tera Tera

Main To Maalik Hi Kahunga Ke Ho Maalik E Habeeb
Ya’ani Mehboobo Muheeb Me Nahi Mera Tera

Tere Qadmo Me Jo Hain Ghair Ka Muh Kya Dekhe
Kaun Nazro Pe Chadhe Dekh Ke Talwa Tera

Bahre Sa-il Ka Hu Sa-il Na Kuwe Ka Pyasa
Khud Bujha Jaye Kaleja Mera Cheeta Tera

Chor Haakim Se Chupa Karta Hain Ya Uske Khilaf
Tere Daamam Me Chupe Chor Anokha Tera

Aankhein Thandi Ho Jigar Taze Ho Jaan-E-Sairaab
Sachhe Suraj Wo Dil-Aara Hai Ujala Tera

Aik Main Kya Mere Isyaa(n) Ki Haqeeqat Kitni
Mujhse Sau Laakh Ko Kaafi Hain Ishara Tera

Muft Paala Tha Kabhi Kaam Ki Aadat Na Padee
Ab Amal Poochte Hain Haaye Nikamma Tera

Tere Tukdo Se Pale Ghair Ki Thokar Pe Na Daal
Jhidkiya Khaaye Kaha Chor Ke Sadqa Tera

Khwaro Bimaro Khatavaro Gunahgaar Hu Main
Rafe’ao Nafe’ao Shafe’a Lakab Aaqa Tera

Meri Taqdeer Buri Ho To Bhali Karde Ki Hain
Mahwo Isbaat Ke Daftar Me Kadoda Tera

Tu Jo Chahe To Abhi Mayl Mere Dil Ke Dhule
Ke Khuda Dil Nahi Karta Kabhi Mayla Tera

Kiska Muh Takiye Kaha Jaiye Kis Se Kahiye
Tere Hi Qadmo  Pe Mitt Jaye Yeh Paala Tera

Tu Ne Islam Diya Aaqa Tu Ne Jama’at Me Liye
Tu Kareem Ab Koi Phirta Hain Atiyya Tera

Maut Sunta  Hu Sitam Talkh Hain Jahraaba-e Nab
Kaun La De Mujhe Talwo Ka Ghusala Tera

Dur Kya Janiye Bad-kaar Pe Kaise Guzre
Tere Hi Dar Pe Mare Be-kaso Tanha Tera

Tere Sadqe Mujhe Ik Boond Bohat Hain Teri
Jis Din Achho Ko Mila Jam Chalakta Tera

Haram-O-Taibah Wa Baghdad Jidhar Kije Nigah
Jyot Padti Hain Teri Noor Hain Chanta Tera

Teri Sarkaar Me Laata Hain Raza Usko Shafe’a
Jo Mera Ghous Hain Aur Laadla Beta Tera


24 comments:

Sunni Lion said...

MASHA ALLAH......

Subhan ALLAH.......

bahut khub..............

Unknown said...

SubhanAllah................. <3

Anonymous said...

MJADDID OF THE CENTURY

Ghulam e TAJUSHARIYAH said...

Ash shah IMAM AHMED RAZA KHAÑ FAZIL E BAREILVY RAHMATULLAH ALAIH
mujaddid e Azam

Unknown said...

AASMAN GAR TERAY TALWONKA NAZARA KARTA

Bhai ye naat chahiye

Unknown said...

Imam -E- Ishq -O- Mohabbat
डाल दी क़ल्ब में अज़मते मुस्तफ़ा सल्लल्लाहोअलैहेवसल्लम
सय्यदे आला हज़रत पे लाखों सलाम

Anonymous said...

SubhanAllah very beautiful and heart touching naat mashaLlah

Unknown said...

SUBHAN ALLAHA

Unknown said...

Subhanallah

Unknown said...

Subhan Allah

md hasan raza said...

Zindabaad

Unknown said...

Zindabaad

saddam husain ansari said...

ma sha allah bahut khub

Unknown said...

Ishqo mohabbat ishqo mohabbat Ala Hazrat Ala Hazrat

Anonymous said...

Subhan Allah

Unknown said...

Mashallah

Unknown said...

Subhan Allah

Unknown said...

Subhanallha

Unknown said...

Chor haakim se chupe ya uske khilaf
Tere daamam me chupe chor anokha tera

Is line ka mtlb?

Anonymous said...

Chor haakim se chupe ya uske khilaf
Tere daamam me chupe chor anokha tera

Is line ka mtlb?

Iska Matlab ye hai ki hum Amal me chor hai. Farz, wajibaat, sunnaton par amal karne me chor hai. Aur duniya ka dastoor ye hai ki jo chor hota hai wo haakim se chupta hai. Lekin hum amal me chor hone ke bawajood, Huzoor Sallallahu Alaihe Wasallam ke hi daaman e mubarak me aa jaate hain.

Unknown said...

Subhan allah

Kaneez Mustafa said...

Masha Allah
Tamam ashiqane Raza ko Safar ka chand mubarak ho

Abdullah said...

Iska meaning please koi explain kry ga. "Khusrava Arsh Pe Udta Hain Pharera Tera"

Unknown said...

Subhan Allah

Facebook Blogger Plugin: Bloggerized by AllBlogTools.com Enhanced by MyBloggerTricks.com

Post a Comment