Lab Per Naat-e-Pak Ka Naghma Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Mere Nabi Se Mera Rishta Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Aur Kissi Jaanib Kyun Jayein Aur Kissi Ko Kyun Dekhein
Apna Sab Kuch Gumbad-e-Khizra Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Pust Woh Kaisay Ho Sakta Hai Jiss Ko Haq Ne Buland Kiya
Dono Jahan Mein Unka Charcha Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Jiss Ke Fayz Se Bunjar Seeno Ne Shadabi Payi Hai
Mauj Mein Woh Rehmat Ka Darya Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Batlado Ye Har Dushman-e-Deen Ko Ghairat-e-Muslim Zinda Hai
Deen Per Mar Mitne Ka Jazba Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Inke Dar Se Sab Ho Aaye Jaa Na Saka Tou Aik Sabhi
Ye Ke Aik Tasweer-e-Tamanna Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Jinn Aankhon Se Taiba Dekha Woh Ankhein Betaab Hai Phir
Inn Ankhon Mein Aik Taqaza Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
0 comments:
Post a Comment