Noor Se Apne Sarwar E Aalam

Noor Se Apne Sarwar E Aalam Duniya Jagmagane Aaye
Ghum Ke Maaro Dukhyaro Ko Seene Se Lagane Aaye

Noore Nigare Ambiya, Mere Huzoor Aa Gaye
Shano Nishaan E Kibriya Mere Huzoor Aa Gaye



Nikhra Hua Hai Rue Gul Faili Hui Hai Bue Gul
Banke Bahaar E Jaa(n) Fiza Mere Huzoor Aa Gaye


Arsh E Baree Ki Rounake Farsh E Zamee Par Aa Gayi
Sajde Ko Jhuk Gaya Aasmaa(n) Mere Huzoor Aa Gaye


Ashqo Se Bhar Ke Jholiya Aankhe Bicha Do Raah Me
Salle Alaa Ki Do Sadaa Mere Huzoor Aa Gaye


Chatki Hui Hai Chaandni Faili Hui Hai Roshni
Dariya Rawa(n) Hai Noor Ka Mere Huzoor Aa Gaye


Mehfil Ko Ab Sawaar Lo Dil Ka Chaman Nikhar Lo
Kardo Charaga Jaa-Baja Mere Huzoor Aa Gaye


Sayim Kalaam E Zouk Se Kalbo Nazar Ko Shauk Se
Raho(n) Me Aaj Do Bicha Mere Huzoor Aa Gaye

12 comments:

Anonymous said...

very nicely written maashaaAllaah:)

MUHAMMAD Abdullah AL YUSUF said...

মাশা আল্লাহ

Unknown said...

Maslake aala Hazrat zindabad....

Anonymous said...

Good work. Hurry up.

junaid said...

bhut shukriya hamare liye naate likhne ke liye bhai

Unknown said...

Awais Raza Qadri key nats ho onho nay parey ha vo written ho to good bayan Kay sath

Unknown said...

Mashaallah

Unknown said...

Mashaallah

Unknown said...

Zindabad

Unknown said...

Masha Allah

Readytocrack1@gmail.com said...

Mashallah bohat pyara kalam h

Unknown said...

Salam ....

Me to panjtan ka ghulam hu ....Abdul Habib Attari ki jo padhi hui hai uski lyrics ... please

Facebook Blogger Plugin: Bloggerized by AllBlogTools.com Enhanced by MyBloggerTricks.com

Post a Comment