Ho Karam Sarkar Ab Tou Ho Gaye Ghum Beshumaar


Ho Karam Sarkar Ab Tou Ho Gaye Ghum Beshumaar
Jaan-O-Dil Tum Par Fida Ae Do Jahan Ke Taajdar


Mein Akela Aur Masail Zindagi Ke Beshumaar
Aap Hee Kuch Kijiye Na Ae Shah-e-Aali Waqaar


Yaad Aata Hai Tawaaf-e-Khana-e-Ka'aba Mujhe
Aur Lipatna Multazim Se Waalihana Baar Baar


Sung-e-Aswad Choom Kar Milta Mujhe Kaif-O-Suroor
Chayn Paata Dekh Kar Dil Mustajab-O-Mustajab


Gumbad-e-Khizra Ke Jalway Aur Woh Iftariyan
Yaad Aati Hain Bohot Ramzan-e-Taiba Ki Bahaar


Ya RasoolAllah Sunn Lejiye Meri Faryad Ko
Kon Hai Jou Keh Sunnay Tere Siwaa Meri Pukaar


Ghum Zadaa Yoon Na Huwa Hota Ubaid-e-Qadri
Iss Baras Bhi Dekhta Gar Sabz Gumbad Ki Bahar

0 comments:

Facebook Blogger Plugin: Bloggerized by AllBlogTools.com Enhanced by MyBloggerTricks.com

Post a Comment