Sunte Hain Ke Mehshar Mein Sirf Unki Rasaai Hai
Gar Unki
Rasaai Hai Lo Jab To Ban Aayi Hai
Machla Hai
Ke Rehmat Ne Ummeed Bandhaai Hai
Kya Baat
Teri Mujrim Kya Baat Banaai Hai
Sab Ne Saf E
Mehshar Mein Lalkaar Diya Hum Ko
Aye Bekaso(N)
Ke Aaqa Ab Teri Duhaai Hai
Yun To Sab
Unhi Ka Hai Par Dil Ki Agar Poocho
Yeh Toote
Hue Dil Hi Khaas Unki Kamaai Hai
Zaair Gaye
Bhi Kab Ke Din Dhalne Pe Hai Pyaare
Uth Mere
Akele Chal Kya Der Lagaai Hai
Baazar E
Amal Mein Toh Sauda Na Bana Apna
Sarkar Karam
Tujh Mein Aibee Ki Samaai Hai
Girte Huwo
Ko Muzda Sajde Mein Gire Maula
Ro Ro Ke
Shafa’at Ki Tamheed Uthaai Hai
Aye Dil Yeh
Sulagna Kya Jalna Hai To Jal Bhi Uth
Dum Ghutne
Laga Zaalim Kya Dhooni Ramaai Hai
Mujrim Ko Na
Sharmao Ahbaab Kafan Dhak Do
Munh Dekh Ke
Kya Hoga Parde Mein Bhalaai Hai
Ab Aap Hi
Sambhalein Toh Kaam Apne Sambhal Jaayein
Humne To
Kamai Sab Khelon Mein Ganwaai Hai
Aye Ishq
Tere Sadqe Jalne Se Chhute Saste
Joh Aag
Bujha Degi Woh Aag Lagaai Hai
Hirso Hawas
E Bad Se Dil Tu Bhi Sitam Kar Le
Tu Hi Nahi
Beygana Dunya Hi Paraai Hai
Hum Dil Jale
Hain Kiske Hat Fitnon Ke Parkaale
Kyun Phoonk
Du Ik Ufs Se Kya Aag Lagaai Hai
Taiba Na
Sahi Afzal Makkah Hi Bada Zaahid
Hum Ishq Ke
Bande Hain Kyun Baat Badhaai Hai
Matl'A Mein
Yeh Shak Kya Tha Wallah Raza Wallah
Sirf Unki
Rasaai Hai Sirf Unki Rasaai Hai
0 comments:
Post a Comment