Hai Lab E Isa Se Jaa(n) Bakhshi Nirali Haath Mein

 Hai Lab E Isa Se Jaa(n) Bakhshi Nirali Haath Mein

Sang Reze Paate Hai Sheeri(n) Maqaali Haath Mein


Be Nawaaon Ki Nigaahein Hain Kahaa Tehreer E Dast

Reh Gayi Jo Paa Key Jood E Laa Yazaali Haath Mein


Kya Lakeero(n) Mein Yadullah Khat Sar O Aasa Likha

Raah Yu(n) Iss Raaz Likhne Ki Nikali Haath Mein


Jood Shah E Kousar Apne Pyaso(n) Ka Juya Hai Aap

Kya Ajab Udd Kar Jo Aap Aayein Pyaali Haath Mein


Abre Nisyaa(n) Mo'mino(n) Ko Taigh E Uriyaa(n) Kufr Par

Jam'a Hain Shaan E Jamaali O Jalaali Haath Mein


Maalik E Qounain Hai Go Paas Kuch Rakhte Nahi

Do Jahaa(n) Ki Ne'amatein Hai Unke Khaali Haath Mein


Saaya Afgan Sarr Pe Ho Parcham Ilahi Jhoom Kar

Jab Liwa Ul Hamd Le Ummat Ka Waali Haath Mein


Har Khat E Kaff Hai Yahaa(n) Ay Dast E Bayza E Kaleem

Mo'jazan Dariya E Noor Be Misaali Haath Mein


Wo Giraa Sangi E Qadr E Mas Wo Arzaani E Jood

Nauiya Badla Kiye Sang O La-Aali Haath Mein


Dastageer E Har Do Aalam Kar Diya Sibtain Ko

Ay Mein Qurbaa(n) Jaan E Jaa(n) Angusht Kya Li Haath Mein


Aah Wo Aalam Ki Aankhein Band Aur Lab Par Durood

Wakf E Sang E Dar Jabee(n) Rouze Ki Jaali Haath Mein


Jiss Ne Bai'at Ki Bahaar E Husn Par Qurbaa(n) Raha

Hain Lakeer E Naqsh E Taskheer E Jamaali Haath Mein


Kaash Ho Jau(n) Lab E Kousar Mein Yu Warafta Hosh

Le Kar Uss Jaan E Karam Ka Zail E Aali Haath Mein


Aankh Mahw E Jalwa E Deedar Dil Purjosh E Wajd

Lab Pe Shukr E Bakhshish E Saaqi Piyali Haath Mein


Hashr Mein Kya Kya Mazee Waraftagi Ke Lu Raza

Lout Jaun Paa Ke Woh Daama(n) E Aali Haath Mein

0 comments:

Facebook Blogger Plugin: Bloggerized by AllBlogTools.com Enhanced by MyBloggerTricks.com

Post a Comment