Soona Jungle Raat Andheri Chaayi Badli Kaali Hai
Sone Wale Jaagte Rahiyo Choron ki Rakhwali Hai
Ankh Se Kajal Saaf Chura Lain Yan Woh Chor Bala Ke Hai
Teri Takri Takee Hai Aur Tu Ne Neend Nikali Hai
Yeh Jo Tujh ko Bulata Hai Yeh Thag Hai Maar Hi Rakhe Ga
Hye Musafir Dam Main na Ana Mat Kaisi Matwali hai
Sona Paas hai Soona Ban Hai Sona Zehar Hai Uth Pyaare
Tu Kehta Hai Meethi Neend Hai Teri Mat hi Nirali Hai
Ankhne Mal na Jhunjna Par Na Lakh Jamahi Angrayi
Array Nam Pe Uthne ke Larta Hai Uthna Bhi kuch Gaali Hai
Jugnoo Chamke Patta Kharke Mujh Tanha Ka Dil Dharke
Dar Samjhaye Koi Pavan Hai Ya Agiya be Taali Hai
Badal Garge Bijli Tarke Dhak se Kaleja Ho Jaaye
Ban Main Ghata Ki Bhayanak Soorat Kaisi Kaali Kaali Hai
Paaon Utha Aur Thaukar Khaayi Kuch Sambhla Phir Aondhe Mon
Neend ne Phislan Kar Di Hai Aur Dhortak Khaayi Naali Hai
Saathi Saathi Keh ke Pukaron Saathi Ho Tu Jawab Aaye
Phir Jhunjla Kar Sir De Patko Chal Re Mola Wali Hai
Tum To Chand Arab ke ho Pyare Tum To Ajam Ke Sooraj Ho
Dekho Mujh Bekas Par Sab ne Kaisi Afat Daali Hai
Shehed Dikhaye Zehar Pilaye Kaatil Daen Shohar Kush
Iss Murdar Pe Kiya Lalchaya Dunya Dekhi Bhaali Hai
Woh tu Nihayat Sasta Soda Baich Rahe Hain Jannat Ka
Hum Muflis Kiya Moal Chukayen Apna Haath Hi Khaali Hai
Mola Tere Afw-o-Karam Ho Mere Gawah Safayi Ke
Warna Raza se Chor pe Teri Digree Tu Iqbali Hai
22 comments:
Great Kalam of Ahmed Raza.
Ala hazrat salamat rahe
MASLAKE ALA HAZRAT SALAMAT RAHE
Jiski wazah SE aaj hamara sunniyon ka imaan salamat hain wo hain aala hazrat Ahmad Raza
It's a very very meaningful naat by ahmadraza
It's a very very meaningful naat by ahmadraza
Is naat ka mtlab Kya h
It is not naat
Mashaallah kalam by my imam e Ahmed Raza fazil e barelvi. Subhanallah and nicely chanted by alhaj owais Raza qadri
give me a english or arabic translation of the poem ....
Maslak e Aalahazrat pe qaim raho,
Zindagi di gai hai isi k lie.
डाल दी क़ल्ब में अज़मते मुस्तफ़ा,
सैय्यदी आला हज़रत पे लाखों सलाम।
Ye Kalam hame Bata Gaya ke imaan ko kaise bachana he Varna imaan ke lutere bohat he
Allah hame is Kalam ke sadke Imaan bachane ki tofik ata farmaye
Subhanallah
Maslake alaa hazrat salamat rahe
Here sona means gold is used in different contexts and meaning at different places... That's is the beauty of this kalaam.... All about the safeguard of belief (imaan)....
Mashlake Alaa hazrat zindabad
Main hamesha padhta hu
Mere Raza ke kalam ko
Best naat
Made me emotional... After reading 9th paragraph I am soo thankful to AlaHazrat that he saved my Imaan. ♡
MASLAKE AALA HAZRAT ZINDABAD
ماشاءاللہ
Haq hai
I love this kalam and i love imam ahmad Raza Khan fazil'e' Bareillby
Post a Comment