Fida kr Ishq-e-Nabi par jaan
muqammal karle tu Iman zamana yaad karega
Jab yaad Nabi ki aati hai ik kaif sa aalam hota hai
jab zikre Nabi chhid jata hai ik wajd ka mosam hota hai
Yahi to kahta hai Qur'an k Aaqa hai jaan-e-Iman
zamana yaad karega zamana yaad karega
Sarkar se tu hai door magar Sarkar to tujh se door nahi
kyu khoya khoya rehta hai Mukhtar hai tu majboor nahi
Nabi ko pahle dil se maan, Nabi par sab kuch kar Qurbaan
zamana yaad karega zamana yaad karega
Aslaf ki hai taarikh yahi sahil pe jala di hai kashtee
daudaye hain ghode dariya par kya Ishq-e-Nabi ki masti thi
Tumhi ho wo Mard-e-Maidan zara dhundo apni pahchan
zamana yaad karega zamana yaad karega
Sarkar ke Jalwo se raushan Iman-o-Amal ki duniya hai
Sarkar ke deewano ki sada taqleed Zamana krta hai
Nabi ka dekh zara faizaan Ki taza ho jaye Iman
zamana yaad karega zamana yaad karega
Darbare wilayat kya kehna jab unka ishara milta hai
baarah barso ki doobi kashti ko ik pal me kinara milta hai
Asad ye Ghaus ka hai faizan hai jis se Fikr-o-nazar hairan
zamana yaad karega zamana yaad karega
Jo baat thi Aa'la Hazrat ki wo aaj kisi Molwi me nahi
Wo Ishq-e-Nabi ke Paikar the, tharrate the unse Dushman bhi
diya humko Kanzul Iman ye hai hum par unka ehsaan
zamana yaad karega zamana yaad karega
0 comments:
Post a Comment