Tumhara Naam Musibat Mein Jab Liya Hoga Complete Lyrics

Tumhara Naam Musibat Mein Jab Liya Hoga
Hamara Bigda Huwa Kaam Bann Gaya Hoga

Gunahgaar Pe Jab Lutf Aapka Hoga
Kiya Bagair Kiya Be-Kiya Kiya Hoga

Khuda Ka Lutf Huwa Hoga Dastageer Zaroor
Jo Girte Girte Tera Naam Le Liya Hoga

Dikhayi Jayegi Mehshar Mein Shaan E Mehboobi
Ke Aap Hi Ki Khushi Aapka Kaha Hoga

Khuda E Paak Ki Chahenge Agle Pichle Khushi
Khuda E Paak Khushi Unki Chahta Hoga

Kisi Ke Paanv Ki Bedi Ye Kaat-te Honge
Koyi Aseer E Gham Unko Pukarta Hoga

Kisi Taraf Se Sada Aayegi Huzoor Aao
Nahi To Damm Mein Ghareebo Ka Faysla Hoga

Kisi Ke Palle Pe Ye Honge Waqt E Wazn E Amal
Koyi Ummeed Se Muh Unnka Tak Raha Hoga

Koyi Kahega Duhayi Hai Ya RasoolAllah
To Koyi Thaam Ke Daman Machal Gaya Hoga

Kisi Ko Le Ke Chalenge Firishte Suwe Jaheem
Woh Unka Raasta Phir Phir Ke Dekhta Hoga

Shikashta Pa Hu Mere Haal Ki Khabar Kar Do
Koyi Kisi Ye Ro Ro Ke Keh Raha Hoga

Khuda Ke Waaste Jald Unse Arz E Haal Karo
Kise Khabar Hai Ke Damm Bhar Mein Haaye Kya Hoga

Pakad Ke Haath Koyi Haal E Dil Sunayega
To Ro Ke Qadmo(n) Se Koyi Lipat Gaya Hoga

Zaban Sukhi Dikha Kar Koyi Lab E Kausar
Janaab E Paak Ke Qadmo Pe Gir Gaya Hoga

Nishaan E Khushrave Di Door Ki Ghulamo Ko
Liwaye Hamd Ka Parcham Bata Raha Hoga

Koyi Qareeb E Tarazu Koyi Lab E Kausar
Koyi Siraat Se Unko Pukaarta Hoga

Ye Beqaraar Karegi Sadaa Ghareebo Ki
Muqaddas Aankhon Se Taar Ashq Ka Bandha Hoga

Wo Paak Dil Ke Nahi Jisko Apna Andesha
Hujoom E Fiqr O Taraddud Mein Ghir Gaya Hoga

Hazaar Jaan Fida Narm Narm Pau Se
Pukaar Sun Ke Aseero(n) Ki Daudta Hoga

Azeez Bachhe Ko Maa(n) Jis Tarah Talaash Kare
Khuda Gawah Wahi Haal Aapka Hoga

Khudayi Bhar Inhi Haathon Ko Dekhti Hogi
Zamana Bhar Inhi Qadmo(n) Pe Laut-ta Hoga

Bani Hai Damm Pe Duhayi Hai Taaj Waale Ki
Ye Ghul Ye Shour Ye Hungame Ja-Ba-Ja Hoga

Maqaam Faasilo(n) Par Kaam Mukhtalif Itne
Ye Din Zuhoor E Kamaal E Huzoor Ka Hoga

Kahenge Aur Nabi "Iz Habu Ila Gayri"
Mere Huzoor Ke Lab Par "Ana Laha" Hoga

Dua E Ummate Badkaar Wird E Lab Hogi
Khuda Ke Saamne Sajdeh Mein Sarr Jhuka Hoga

Ghulam Unki Inayat Se Chayn Mein Honge
Aduu Huzoor Ka Aafat Mein Mubtala Hoga

Main Unke Dar Ka Bhikari Hu Fazl E Maula Se
Hasan Faqeer Ka Jannat Mein Bistara Hoga

27 comments:

Unknown said...

Masha Allah such a beautiful naat sharif.And yes of course your website is doing such a good job.

Unknown said...

Mashaallah

Youth Club said...

Masha Allah

Very very very beautiful naat sharif

Unknown said...

Butiful naat

Unknown said...

In urdu

Anonymous said...

Mashallah ♥️

Unknown said...

Mashallah ♥️

Unknown said...

Vry nic

Unknown said...

Subhanallah ❤️🌷💚💚⁦❤️⁩

Unknown said...

Subhan Allah

Unknown said...

Subhanallah hazrat hasann r.a no ne haq farmaya puri naat Shareef me har ek bat
Lajawab he

Unknown said...

Masha Allah ♥️♥️♥️

Anonymous said...

Subhan Allah, of course , my sweet Aaqa(saww) is everything for me in this world, in grave and on the day of judgment

Unknown said...

Masha Allah

Unknown said...

Subhan allha bahut khubsurat naat

Unknown said...

حق☝️ حق☝️ حق☝️

Unknown said...

Mashaallah❤

Unknown said...

Jazak ALLAH o khairah wah ahsana jaza

Mustakeem Mapari said...

Masha Allah

Unknown said...

Kay bat Raza us camanistan e karam ki Johara hai Kali jisme Hassan aur Hussain Ful

Unknown said...

Masshahallah

Kilke_raza78 said...

subhan allah

Unknown said...

Mashah ALLAH O Subhan ALLAH

Unknown said...

MashaAllah

Unknown said...

Qiyamat k sunhera manzar aankho me ajata h I naat ko suno

Safiya said...

Mashallah... beautiful naat Shareef..

Unknown said...

Bahoot khoob surat kalam hai

Facebook Blogger Plugin: Bloggerized by AllBlogTools.com Enhanced by MyBloggerTricks.com

Post a Comment