Mehboob Ke Dar Par Jau(n) Wo Waqt E Mubarak Aaye

Mehboob Ke Dar Par Jau(n) Wo Waqt E Mubarak Aaye
Qismat Apni Chamkau Wo Waqt E Mubarak Aaye

Jab Pesh E Nazar Ho Mere Minar O Ghumbad Tere
Main Ghash Kha-kar Gir Jau(n) Wo Waqt E Mubarak Aaye

Fir Tere Ghumbad E Khazra Pe Rookar Dast-ba-dasta
Sab Haal Main Tumko Sunau Wo Waqt E Mubarak Aaye

Dilko Apne Samjhakar Deedar Ki Aas Dila Kar
Ro-Ro Kar Main So Jau(n) Wo Waqt E Mubarak Aaye

Wo Khwab ME Jalwa Dikhaye Ay Kaash Karam Farmaye
Main Qadmo Mein Gir Jau(n) Wo Waqt E Mubarak Aaye

Hai Dil Ka Ubaid Ye Armaa(n) Fir Banke Unka Mehmaa(n)
Darbaar Mein Naat Sunau Wo Waqt E Mubarak Aaye

5 comments:

Unknown said...


Subhanallah

Unknown said...

Masaallah
Naat e Rasool Allah ka koi jabab nehi...

Unknown said...

Ameen Summa Ameen

Unknown said...

Jisne ye kalam likha hai unka bhi koi jawab nahi mere nabi k gulamo ki ye shan hai to sardar ka alam kya hoga 💖

Khursheed bhai said...

Masa allah

Facebook Blogger Plugin: Bloggerized by AllBlogTools.com Enhanced by MyBloggerTricks.com

Post a Comment