Rutba Hi Kuch Aisa Hai Uncha Aala Hazrat Ka

Rutba Hi Kuch Aisa Hai Uncha Aala Hazrat Ka
Duniya Bhar Me Hota Hai Charcha Aala Hazrat Ka

Mere Aala Hazrat Ko Nisbat Hai Sarkaar Se
To Kyun Na Khan Khan Khankega Sikka Aala Hazrat Ka

Baatil Ko Baatil Likhha Aur Haq Likhha Iss Waaste
Sab Fatwo(n) Par Bharee Hai Fatwa Aala Hazrat Ka

Aisa Din Bhi Ayega Saari Duniya Dekhegi
Ke Duniya Mein Lehrayega Jhanda Aala Hazrat Ka

Humko Ay Sajjad Ab Kya Koyi Behkayega
Jab Tak Mere Sar Par Hai Saaya Aala Hazrat Ka

5 comments:

Unknown said...

Subhan Allah

Unknown said...

Subha'nAllah 🌹

Ahle Haq Ahle Sunnat Maslak E Aala Hazrat Sunni Bareilwiyat ZINDABAAD 💪

Unknown said...

SUBHAN Allah
KYA BAAT HAI GHOUSE E AZAM R A KI

Tahir Ali said...

SubhanAllah

Tahir Ali said...

Masha Allah

Facebook Blogger Plugin: Bloggerized by AllBlogTools.com Enhanced by MyBloggerTricks.com

Post a Comment