Shukr E Khuda Ki Aaj Ghadi Us Safar Ki Hai
Jis Par Nisaar Jaan Falaaho Zafar Ki Hai
Garmi Hai Tap Hai Dard Hai Kulfat Safar Ki Hai
Na Shukr Ye To Dekh Azeemat Kidhar Ki Hai
Kis Khaaqe Paak Ki Tu Banee Khaaqe Pa Shifa
Tujhko Kasam Janab E Maseeha Ke Sarr Ki Hai
Aabe Hayaat E Ruh Hai 'Zarqa' Ki Boond Boond
Akseer A'azame Mase Dil Khaaq Darr Ki Hai
Humko To Apne Saaye Me Aaram Hi Se Laaye
Heele Bahane Waalo Ko Ye Rah Darr Ki Hai
Lut-te Hai Maare Jaate Hai Yu Hi Suna Kiye
Har Baar Di wo Aman Ki Ghairat Hajar Ki Hai
Wo Dekho Jagmagati Hai Shab Aur Qamar Abhi
Pahro Nahi Ki Bisto Chahrum Safar Ki Hai
Maahe Madina Apni Tajalli Ataa Kare
Ye Dhalti Chandni To Pahar Do Pahar Ki Hai
Mann Zaar-Turbati Wa-J-Bat Lah Shafa'ati
Un Par Durood Jinse Naved In Bashar Ki Hai
Unke Tufail Haj Bhi Khuda Ne Kara Diye
Asl E Muraad Haazri Uss Paak Darr Ki Hai
Ka'abe Ka Naam Tak Na Liya Taibah Hi Kaha
Poocha Tha Humse Jisne Ki Nuhzat Kidhar Ki Hai
Ka'aba Bhi Hai Unhi Ki Tajalli Ka Ayk Zill
Roushan Unhi Se Aks Se Putli Hajar Ki Hai
Hote Kaha Khaleelo Bina Ka'aba Wo Mina
Lau Laak Wale Sahibe Sab Tere Ghar Ki Hai
Maula Ali Ne Vaari Teri Neend Par Namaz
Aur Wo Bhi Asr Sabse Jo A'ala Khatar Ki Hai
Siddeeq Balki Ghaar Me Jaa(n) Uss Pe De Chuke
Aur Hifze Jaa(n) To Jaan Furuze Gurar Ki Hai
Haa(n) Tu Ne Unko Jaan, Unhe Fer Di Namaz
Par Wah To Kar Chuke The Jo Karni Bashar Ki Hai
Sabit Hua Ki Jumla Faraiz Furu'a Hai
Aslul Usool Bandagi Us Taajvar Ki Hai
Shar Khair, Shor Sur, Sharar Dur, Naar Nur
Bushra Ki Baargah Ye Khairul Bashar Ki Hai
Mujrim Bulaye Aaye Hai 'Jau-k' Hai Gawah
Phir Radd Ho Kab Ye Shaan Kareemo Ke Darr Ki Hai
Badd Hai Magar Unhi Ke Hai Baaghi Nahi Hai Hum
Najdi Na Aaye Usko Ye Manzil Khatar Ki Hai
Tuf Najdiyat Na Kufr Na Islam Sab Pe Harf
Kafir Idhar Ki Hai Na Udhar Ki Adhar Ki Hai
Haakim Hakeem Daado Dawa De Ye Khuch Na De
Mardood Ye Muraad Kis Aayat Khabar Ki Hai
Shakle Bashar Me Noore Ilahi Agar Na Ho
Kya Kadr Us Khameera E Maao Mad(a)r Ki Hai
Noore Ilahi Kya Hai Muhabbat Habeeb Ki
Jis Dil Me Ye Na Ho Wo Jagah Khufo Khar Ki Hai
Zikre Khuda Jo Unse Juda Chaho Najdiyo
WALLAH Zikre Haq Nahi Kunji Sakar Ki Hai
Be Unke Waaste Ke Khuda Kuch Ataa Kare
Haasha Galat Galat Ye Hawas Be-basar Ki Hai
Maqsood Ye Hai Aadamo Nuuho Khaleel Se
Tukhme Karam Me Saari Karamat Samar Ki Hai
Unki Nubuvvat Unki Ubuvvat Hai Sabko Aam
Ummul Bashar Aroos Unhi Ke Pesar Ki Hai
Zaahir Me Mere Phool Haqeeqat Me Mere Nakhl
Uss Ghul Ki Yaad Me Ye Sadaa Bul Bashar Ki Hai
Pehle Ho Unki Yaad Ki Paaye Jila Namaz
Yeh Kehte Hai Azaan Jo Pichle Pahar Ki Hai
Duniya Mazaar Hashr Jahaan Hai Ghafoor Hai
Har Manzil Apne Chaand Ki Manzil Gafar Ki Hai
Un Par Durood Jinko Hajar Tak Kare Salaam
Un Par Salaam Jinko Tahiyyat Shajar Ki Hai
Un Par Durood Jinko Kase Be-kasa Kahe
Un Par Salaam Jinko Khabar Be-khabar Ki Hai
Jinno Bashar Salaam Ko Haazir Hai Assalam
Yeh Bargah Maalik E Jinno Bashar Ki Hai
Shamso Qamar Salaam Ko Haazir Hai Assalam
Khubi Unhi Ki Jyot Se Shamso Qamar Ki Hai
Sab Bahro Bar Salaam Ko Hazir Hai Assalam
Tamlik Unhi Ke Naam To Har Bahro Bar Ki Hai
Sango Shajar Salaam Ko Haazir Hai Assalam
Kalme Se Tar Zabaan Darakhto Hajar Ki Hai
Arzo Asar Salaam Ko Hazir Hai Assalam
Malja Ye Baargah Dua O Asar Ki Hai
Shorida Sarr Salaam Ko Hazir Hai Assalam
Raahat unhi Ke Qadmo Me Shorida Sarr Ki Hai
Khasta Jigar Salaam Ko Hazir Hai Assalam
Marham Yahi Ki Khaak To Khasta Jigar Ki Hai
Sab Khushko Tar Salaam Ko Hazir Hai Assalam
Ye Jalwa Gaah Maalike Har Khushko Tar Ki Hai
Sab Karro Far Salaam Ko Hazir Hai Assalam
Topi Yahi to Khaaq Pe Har Karro Far Ki Hai
Ahle Nazar Salaam Ko Hazir Hai Assalam
Ye Gard Hi Surma Sab Ahle Nazar Ki Hai
Aansu Baha Ki Beh Gaye Kaale Gunah Ke Dher
Haathi Dubav Jheel Yaha Chashme Tar Ki Hai
Teri Kaza Khaleefa E Ahkaame Zil jalaal
Teri Raza Haleef Kazawo Kadar Ki Hai
Yeh Pyari Pyari Kyari Tere Khaana Baagh Ki
Sard Isko Aabo Taab Se Aatash Safar Ki Hai
Jannat Me Aa Ke Naar Me Jaata Nahi Koi
Shukre Khuda Naweed Najaato Zafar Ki Hai
Mo'min hu Mo'mino Pe Rauf Ur Raheem Ho
Sa-il Hu Sa-ilo Ko Khushi La-Nahar Ki Hai
Daaman Ka Waasta Mujhe Is Dhup Se Bacha
Mujhko To Shaak Jaado Me Us Duphar Ki Hai
Maa Dono Bhai Bete Bhateeje Azeez Dost
Sab Tujhko Soupe Milk Hi Sab Tere Ghar Ki Hai
Jin Jin Muraado Ke Liye Ahbaab Ne Kaha
Peshe Khabeer Kya Mujhe Haajat Khabar Ki Hai
Fazle Khuda Se Ghaib E Shahadat Hua Unhe
Iss Par Shahadat Aayato Wahiyo Asar Ki Hai
Kahna Na Kahne Wale The Jab Se Tu ittela'a
Maula Ko Qoulo Qailo Har Khusko Tar Ki Hai
Unn Par Kitaab Utri Bayaanul Li-Kulli Shay
Tafseel Jisme Abaro Ma Gabar Ki Hai
Aage Rahi Ataa Wo Baqadre Talab To Kya
Aadat Yaha Ummeed Se Bhi Beshtar Ki Hai
Be Maange Dene Wale Ki Ne'amat Me Gark Hai
Maange Se Jo Mile Kise Faham Is Kadar Ki Hai
Ahbaab Iss Se Badh Ke To Shayad Na Paaye Arz
Na Karda Arz Arz Ye Tarze Digar Ki Hai
Dandaa(n) Ki Naat Khwa Hu Na Payab Hogi Aab
Naddi Gale-Gale Mere Aabe Guhar Ki Hai
Dashte Haram Me Rehne De Sayyad Agar Tujhe
Mitti Azeez Bulbule Be-Baalo Par Ki Hai
Ya Rabb Raza Na Ahmade Parina Hoke Jaay
Ye Bargah Tere Habeebe Abarar Ki Hai
Taufeeq De Ki Aage Na Paida Ho Khu-e Badd
Tabdeel Kar Jo Khaslate Badd Peshtar Ki Hai
Aa Kuch Suna De Ishq Ke Bolo(n) Me Ay Raza
Mushtaq Tab-a Lazzate Soze Jigar Ki Hai
3 comments:
Jazak'ALLAHU Fid-darain ;
JazakAllah JazakAllah JazakAllah JazakAllah fiddaarain .... May Allah bless you with everything you want ... trust me how much i have benefited from this website , i haven't benefited that much from any other Website yes ! Not frm Any other website this much .. I'll prefer this website forrrrr eveerryyyyyone ... it has the best collection of na'at lyrics Ma shaa Allah of my Peer-o-murshid Sayyadi Aala Hazrat رضي الله عنه. And my role model Muhammad Owais Raza Quadri ...
Ye website sabseeee achchi hai
jazakAllah isse mujhe bahooiot faayda hua hai ke jitna aur kisiiii website se nahi hua ...JazakAllah JazakAllah JazakAllah - hindi translation
Allah paak aapki har dua ko apne pyaare habeebﷺ ke sadqe me qabool farmaye
آميــــــــــــــــــــن
Subhan Allah ta qayamat Aisa dusra ASHIQ e rasool milna mushkil hai Jo Quran ke tafseer va Hadis ke Mafhum ko tarannum dhaal de.
Ya Allah Ta qayamat mere eimaan ko tazagi aur salamati ataa karne wale tere dost Imam e Ishq o muhabbat SAIYYADI SARKAR A'ALA HAZRAT IMAM AHMED RAZA KHAN (Radio allahu anhu) ki kabro anwaar par Rahmatobki baarish barsa.aur unka daaman hamesha hamare haath me rakh.
Aameen
Post a Comment