Rounaq E Bazme Jahaan Hai Aashiqane Sokhta

Rounaq E Bazme Jahaan Hai Aashiqane Sokhta
Keh Rahi Hai Shamma Ki Goya Zabaan E Sokhta

Jisko Kurse Mehr Samjha Hai Jahaa(n) Ay Mun-emo
Unke Khwane Jood Se Hai Ek Naan E Sokhta

Maahe Mann Hai Nayyar E Mehshar Ki Garmi Ta-Bakey
Aatish E Isyaa(n) Me Khud Jalti Hai Jaan E Sokhta

Barke Angushte Nabi Chamakti Thi Uss Par Ek Baar
Aaj Tak Hai Seena E Mah Me Nishaan E Sokhta

Mehre Aalam Taab Jhukta Hai Paye Tasleem Roz
Peshe Zarrate Mazaar E Be-Dilaane Sokhta

Kucha E Ghesu E Jaana Se Chale Thandi Naseem
Baalo Par Afsha Ho Ya Rab Bulbulane Sokhta

Bahre Haq Ay Bahre Rehmat Ik Nigah E Lutfbaar
Ta-ba-Key Be Aab Tadpe Mahiyane Sokhta

Ru-Kshe Khursheede Mehshar Ho Tumhare Faiz Se
Is Sharare Seena e Shaidayi-aane Sokhta

Aatishe Tar Daamani Ne Dil Kiye Kya Kya Kabaab
Khizr Ki Jaa(n) Ho Jila Do Mahiyane Sokhta

Aatish E Gulha E Taibah Par Jalane Ke Liye
Jaan Ke Taalib Hai Pyare Bulbulane Sokhta

Lutf E Barke Jalwa E Mearaj Laaya Wajd Me
Shola E Zavvaala Sa(n) Hai Aasman E Sokhta

Ay Raza Mazmoon Soze Dil Ki Rif'at Ne Kiya
IS Zameen E Sokhta Ko Aasmaan E Sokhta

0 comments:

Facebook Blogger Plugin: Bloggerized by AllBlogTools.com Enhanced by MyBloggerTricks.com

Post a Comment