Khusravi Achhi Lagi Na Sarwari Achhi Lagi
Hum Faqeero Ko Madine Ki Gali Achhi Lagi
Mai Na Jaunga Kahi Bhi Darr Nabi Ka Chor Kar
Mujhko Ko-E Mustafa Ki Chaakri Achhi Lagi
Rakh Diye Sarkaar Ke Qadmo Me Sultaano Ne Sarr
Sarwar E Kouno Makaa Ki Saadgi Achhi Lagi
Naaz Kar Tu Ay Haleema Sarwar E Kounain Par
Gar Lagi Achhi To Teri Jhopdi Achhi Lagi
Jinko Karni Hai Shahenshaho Ki Taarefe Kare
Mujhko Aaqa Bas Tumhari Naat Hi Achhi Lagi
Qabr Roushan Ho Gayi Noor E Nabi Se Is Tarah
Aashiqo Ko Maut Bhi Aur Qabr Bhi Achhi Lagi
Maut Jo Maangi Dayar E Mustafa Ke Saamne
Maut Ko Bhi Aarzu Meri Badi Achhi Lagi
Mahro Mah Ki Roushni Maana Ki Achhi Hai Magar
Sabze Ghumbad Ki Mujhe To Roushni Achhi Lagi
Duur The To Zindagi Be-Rang Thi Be-Kaif Thi
Unke Kooche Me Gaye To Zindagi Achhi Lagi
Aaj Mehfil Me Niyazi Naat Jo Maine Padhi
Aashiqane Mustafa Ko Wo Badi Achhi Lagi
4 comments:
qurbaan jao mai aashiqe rasool(saw)-aala hazrath(rh) par..
jinke tufel hame sarkar(saw) ki qurbat, nisbat, mohabbat naseeb hui...
masalake aala hazrath zindabad.....
Can we get this in english transalation please?
jazak'ALLAH TA-ALA khairan kaseera
Zindabad
Post a Comment