Utha Do Parda Dikha Do Chehra

Utha Do Parda Dikha Do Chehra Ke Noore Baari Hijab Me Hai
Zamana Taarik Ho Raha Hai Ki Mehr Kab Se Nikaab Me Hai

Nahi Wo Meethi Nigaah Waala Khuda Ki Rehmat Hai Jalwa Farma
Ghazab Se Unke Khuda Bachaye Jalaal E Baari Etaab Me Hai

Jali-Jali Bu Se Uski Paida Hai Sozish E Ishqe Chashme-Wala
Kabaabe Aahu Me Bhi Na Paaya Maza Jo Dil Ke Kabaab Me Hai

Unhi Ki Bu Maya E Saman Hai Unhi Ka Jalwa Chaman Chaman Hai
Unhi Se Ghulshan Mehek Rahe Hai Unhi Ki Rangat Ghulab Me Hai

Teri Julu Me Hai Maahe Taibah Hilaal Har Margo Zindagi Ka
Hayaat Jaa(n) Ka Rikab Me Hai Mamaate A'ada Ka Daab Me Hai

Siy(a)h Libasane Daare Duniya Wa Sabz-Poshane Arshe Aala
Har Ik Hai Unke Karam Ka Pyasa Ye Faiz Unki Janaab Me Hai

Wo Ghul Hai Lub-haye Naazuk Unke Hazaaro Jhadte Hai Phool Jinse
Ghulab Ghulshan Me Dekhe Bulbul Ye Dekh Ghulshan Gulaab Me Hai

Jali Hai Soze Jigar Se Jaa(n) Tak Hai Taalib E Jalwa E Mubarak
Dikha Do Wo Lab Ki Aab E Haiwa(n) Ka Lutf Jinke Khitaab Me Hai

Khade Hai Munkar Nakeer Sarr Par Na Koi Haami Na Koi Yaavar
Bata Do Aakar Mere Payamabar Ki Sakht Mushkil Jawab Me Hai

Khuda E Kahhar Hai Ghazab Par Khule Hai Badd-kariyo(n) Ke Daftar
Bacha Lo Aa Kar Shafe'e Mehshar Tumhara Banda Azaab Me Hai

Kareem Aisa Mila Ki Jiske Khule Hai Haath Aur Bhare Khazane
Batao Ay Mufliso Ki Fir Kyu Tumhara Dil Izterab Me Hai

Gunah Ki Tareekiya Ye Chayi Umad Ke Kaali Ghata-e Aayi
Khuda Ke Khursheed Mehr Farma Ki Zarra Bas Ijteraab Me Hai

Kareem Apne Karam Ka Sadqa La-eeme Be Qadr Ko Na Sharma
Tu Aur Raza Se Hisaab Lena Raza Bhi Koi Hisaab Me Hai

33 comments:

imran said...

SubhanAllah

navid 12323 said...

SUBHAANALLAH

Unknown said...

subhallha

Unknown said...

Alahazrat ka Kalam SubhanAllah

Unknown said...

SubhanALLAH AALA HAZRAT KE KALAAM E MUBAARAK KO SAMAJHNA AAQA KI NISBAT KA SADQA H BUZURGON PAR JO AALA HAZRAT KE KALAAM E MUBAARAK KO HM GUNAHGAARON TAK PAHUCHAAYA UNKA SHUKRA H YAA RASOOLALLAH AAPKE CHAHNE WALON KI KHAIR :)

Unknown said...

Aala-Hazrat , Azeem -ul - barkat , ka hr 1 kalaam la-jawab h سبحان الله
ALLAH in k ishq or ilm k faizan hm pr b jari frma de (Aameen)

Noori Info said...

Subhan Allah. Maslake Aalahazrat Zindabad. Qalame Aalahazrat Zindabad.

Unknown said...

Subhan allah ala he wo alim e waala he wo deenka samandar he wo

Unknown said...

Masha Allah

Unknown said...

Subhanallah maslake alahazrat zindabad

Unknown said...

Kalam e Alahazrat ki baat he kuch alag hai subhanAllah

Naveed Shaikh said...

SubhanAllah

Mubarak Khadri said...

Subhanalla

Unknown said...

Masha Allah

Unknown said...

Masha Allah Kya Khoob Likha Hai

Hussain said...

निसार उनकी चहल पहल पर, हज़ारों ईद ए रबीउल अव्वल

Ayaz Ashrafi said...

Sub'han'Allah ❤️

Unknown said...

MashaAllah

Unknown said...

Subhan Allah

Unknown said...

Masha Allah ala hazrat ki Shan azim hai

Unknown said...

Mashallah subhanaallah😍😍😘😘

Unknown said...

Subhan Allah

Unknown said...

No words i have. Just to say mujhy AAla Hazrat k ishq sy ishq hy unk jazbon sy unky ilfaz sy ishq hy mahabbat hy

Unknown said...

Utha Do Parda Dikha Do Chehra Ke Noore Baari Hijab Me Hai
Zamana Taarik Ho Raha Hai Ki Mehr Kab Se Nikaab Me Hai

Unknown said...

Sübhan ALLAH

Unknown said...

Subhanallah Allah har momin ka Iman salamat rakhe ameen

Unknown said...

Subhanallah

Unknown said...

Dil ko chu jane wali naat hai.... Masha allah hazrat ne huzoor ki shaan mein itne khubsoorat moti piroyen hain ke sun ke sukoon milta hai

Unknown said...

Jab see Maine Ala Hazrat ke Kalam o ko para aur sunaa hai, mere dil me ishq e rasool aur bhi zyada paida huaa hai. Wo kalam likha hai aapne Jo lajab bhi hai aur ba kamaal bhi, aap ki zaat e ba barkat see ye saare Jo Kalam hmko mile hum Bahut shukr guzaar h , ya rasool Allah mere Ala Hazrat ko karwat karwat sukoon aur apki mazaar aqdas me rahmatein nazil farma.. ameen

Unknown said...

Jo kuch is sade me he wo tanha raza ka he

Unknown said...

Lawajab kalam

Unknown said...

Imam ka Kalam klamo ka imam hai masha Allah

Anonymous said...

Masha Allah

Facebook Blogger Plugin: Bloggerized by AllBlogTools.com Enhanced by MyBloggerTricks.com

Post a Comment