Kuch Aisa Kar de Mere Kirdgaar Aankho me

Kuch Aisa Kar de Mere Kirdgaar Aankho me
Hamesha Naqsh Rahe Roo-e-Yaar Aankho me



Wo Noor De Mere Parwardigar Aankhon Me
Ki Jalwagar Rahe Rukh Ki Bahaar Aankhon Me

Tumhaare Qadmo pe moti nisaar hone ko
Hain be shumaar meri Ashkbaar Aankho me


Unhe na dekha to kis kaam ki hai ye Aankhe
Ke Dekhne ki he saari Bahaar Ankho me

Nazar me Kaise samayenge phool Jannat ke
Ke bus chuke hai Madine ke Khaar Aankho me


Ajab nahi ke likha Lauh ka Nazar Aaye
Jo Naqshe Paa ka laga’o Ghubaar Aankho me

Khule hain deeda-e-Ushaaq Khwaabe marg me bhi
Ke Us Nigaar ka he intizaar Aankho me


Wo Subz Subz Nazar Aa raha he Ghumbad-e-Subz
Qaraar Aa gaya yoo be Qaraar Aankho me

Wahee mujhe Nazar aaye Jidhar Nigah Karu
Unhi Ka Jalwa rahe Aash kaar Aankho me


Ye Dil Tarap Ke Kahee Aankho me Na Aajaye
Ke Phir Rahaa hai kisi ka Mazaar Aankho me

Karam ye mujh pe kiya he mere tassawur ne
Ke Aaj khinch di Tasweer-e-Yaar Aankho me


Farishto Poochte ho mujh se kis ki Ummat ho
Lo Dekh lo ye hai tasweer-e-Yaar Aankho me

Ye Kya sawaal he mujh se ke kis ka banda he
Me jis ka banda hoo he Noor Baar Aankho me


Piyaa he Jaam-e-Muhabbat jo Aap ne NOORI
Hamesha Us ka rahega Khumaar Aankho me 



Audio Credit: owaisqadri.com

18 comments:

Danish Kirkire Qadri Razvi said...

jazakALLAH ALLAH ta'ala apne Habib Salla Allahu ta'ala alayhi wa sallam ke sadqe wasile tufail aap ka khatma bil khair Imaan pe farmae

http://madinasharif.wordpress.com

Unknown said...

Naat Parhte Hain
Taajub Kya Agar Shayar
Sukhanwar Naat Parhte Hain
Ke Abujahal Ki Muthi Mein
Kankar Naat Parhte Hain
Naat Parhte Hain
Yaha Par Munkiron Ko
Naat Se Takleef Hoti Hain
Waha Sheher-e-Madinah Mein
Kabutar Naat Parhte Hain
Naat Parhte Hain
Madine Ki Judaai
Jab Satati Hai Garibo Ko
Wo Apny Peer Ka Daman
Pakarh Kar Naat Parhte Hain
Naat Parhte Hain
Yazido Ke Kaleje
Phat Ne Lagte Hain Adawat Sy
Hussaini Qafile Mein Jab
Bahattar Naat Parhte Hain
Naat Parhte Hain
Wo Jis Masjid Mein
Aaqa Sunnte Thy
Hassan Sy Naate
Waha Py Aaj Bhi
Mehrab o Mimbar
Naat Parhte Hain
Naat Parhte Hain
Hamari Naat Darbar e Risalat
Tak Pohunch Jaye
Jabi To Ham
Durood e Pak Parh Kar
Naat Parhte Hain
Naat Parhte Hain
Dua Maa Baap Ki Hai
Or Karam Rab be Akbar Ka
Nabi Ki Bazm Mein
Ahsan Or Tahir Naat Parhte Hain
Naat Parhte Hain
By @AhmadTangar

Unknown said...

Subhanallah subhanallah beshq haq he

Meem Expediting Services said...

Such a beautiful naat, made me cry when recited by feeling each word used. Maslak'e A'la Hazrat Zindabaad.

Unknown said...

Mashallah bohot khoob kalam hai
Kalame ala hazrat

Unknown said...

Bhai,
Kalam Shehzada-e Raza, Huzuu Mufti-e Azam-e Hind ka hai.
Bohot hi behtareen hai.

NS said...

Khubsurat
Behtareen

Unknown said...

Mere moula merii akhe mujhe wapas kar de
Take is bar mai jee bhar ke madina dekho
Aamin

محمد سعید احمد said...

ماشااللہ سبحان اللہ

Unknown said...

ماشاءاللہ

Unknown said...

Subhanallah

Unknown said...

Subhanallah

Unknown said...

Subhanallah

Unknown said...

Subhanallah bhut hi zabardast maza agya thank you

Unknown said...

My favorite one naat Shareef

Unknown said...

Subhanallah.

Unknown said...

Subhanallah

Unknown said...

SubhanAllah kya haa baat kahi

Facebook Blogger Plugin: Bloggerized by AllBlogTools.com Enhanced by MyBloggerTricks.com

Post a Comment