Ye Kehti Thi Ghar Ghar Me Ja Kar Haleema
Mere Ghar Me Khairul Waraa Aa Gaye Hai
Bade Auj Par Hai Mera Ab Muqaddar
Mere Ghar Rasool E Khuda Aa Gaye Hai
Uthi Chaarsu Rehmato Ki Ghataye
Mu-attar Mu-attar Hai Saari Fazae
Khushi Me Ye Jibreel Nagme Sunaye
Wo Sha-faye Rouze Jaza Aa Gaye Hai
Ye Zulmat Se Kehdo Andhere Uthale
Ke Hai Har Taraf Ab Ujale Ujale
Kaha Jinko Haq Ne Sirajammuneera
Mere Ghar Wo Noor E Khuda Aa Gaye Hai
Ye Sunkar Sakhee Aapka Aastaana
Hai Daaman Pasare Hue Sab Zamana
Nawaso Ka Sadqa Nigah E Karam Ho
Tere Dar Pe Tere Gada Aa Gaye Hai
Mukarrab Hai Be-Shaq Khaleelo Najee Bhi
Badi Shaan Waale Kaleemo Maseeh Bhi
Liye Arsh Ne Jinke Qadmo Ke Bouse
Wo Ummi Laqab Mustafa Aa Gaye Hai
Khuda Ke Karam Se Nakirain Aa Kar
Kahenge Ziyarat Ka Muzdah Suna Kar
Utho Behre Ta'azeem Noorul Hasan Ab
Lahad Me Rasool E Khuda Aa Gaye Hai
10 comments:
Mashallah ....
Very beautiful kalam
assalaamu alaykum wa rahmatullahi wa barakaatuhu.
Indeed very beautiful naat shareef. I would like to have the lyrics written in urdu and not in transliteration. Jazaak ALLAH
Can someone please give the english translation?
Please search on Google . Ye kahti thi ghar ghar me ja kar Haleema with English translation
Masha allah beautiful naat
SALAM O AALIKUM,
MASHAA ALLAH AUR SUBHAN ALLAH
ALLAH IS KA ALLAH AUR ALLAH KAY RASOOL KA ISHQ SALAMAT RAKHHAY. AUR IS KE AAQIBAT SAWAR DAY JIS NAY BHHI IS NAAT KAY LYRICS YAHAN LIKHHAY HAIN.
AAMEEN SUMMA AAMEEN
mashallah aqlhamdolillah
Mashalallha
Who has written this kalam
Ameen
Post a Comment