Maah E Rabi Ul Awwal Aaya
Rabb Ki Rehmat Saath Me Laaya
Peer Ka Din Tareekh Hai Baarah
Farsh Pe Chamka Arsh Ka Taara
Aaj Ki Raat Baraat Rachi Hai
Aamena Ke Ghar Dhoom Machi Hai
Ghar Me Hoore Darr Pe Malak Hai
Jinke Qatare Ta-b-Falak Hai
Thandi Hawa Ka Jhonka Aaya
Shour Macha Ik Salle Alaa Ka
Lo Ab Uthi Gard E Savari
Paide Hue Mehboob E Baari
Rehmat E Aalam Noor E Mujassam
Sallallahu Alaihe Wasallam
Tum Bhi Utho Ab Waqt E Adab Hai
Zikre Wiladat Shahe Arab Hai
Takht Hai Unka Taaj Hai Unka
Dono Jahan Pe Raaj Hai Unka
Jinno Malak Hai Unke Sipahi
Rab Ki Khudai Me Inshahi
Unche Unche Yaha Jhukte Hai
Saare Unhi Ka Muh Takte Hai
Shaho Gada Hai Unke Sawaali
Fakhr Hai Sabko Inki Ghulami
Kaabe Ki Zeenat Inhi Ke Dam Se
Taibah Ki Rounak Inke Qadam Se
Kaaba Ki Kya Saare Jaha(n) Me
Dhoom Machi Hai Kono Makaa(n) Me
Aamena Bi Ko La'al Mubarak
Daayi Haleema Ko Baal Mubarak
Tumko Khaleelullah Mubarak
Tumko Zabeehullah Mubarak
Daan Karo Kuch Jashn Hai Bhari
Darr Pe Khade Hai Saare Bhikari
Darr Pe Hai Haazir Apne Paraye
Aapke Dam Se Aas Lagaye
Chashme Karam Lillah Idhar Ho
Saalike Khasta Par Bhi Nazar Ho
2 comments:
Noor hi noor hai
Kya baat h
Post a Comment