Ishq ke rang me rang jaein jab afkaar to khulte hein ghulaamon pe wo asraar ke rehte hein wo tawseef sanaae shahe abraar me har lehzaa Guhar baar
Warna Wo Sayyade Aale Nasabi han Wohi Ummi Laquabi Hashmi o Motalabi o Arabi o Qarashi o Madani aur kahan hamse gunahgaar
Aarzoo ye he ke ho qualb muattar wo mutahhar wo munawwar wo mujalla wo musaffa durehaalaa jo nazar aae kahin jalwaae roue shahe abraar
Jin ke qadmon ki chamak chaand sitaaron me nazar aae jidhar se wo guzar jaae wohi raah chamak jae damak jae mahak jae bane rawnaque gulzaar
Soung loun khushbue geisoue Muhammad wo siya zulf nahin jis ke muquaabil ye banafsha ye suyunti ye chambeli ye gule laalaa o champaa ka nikhaar
Jis ki nakhat pe hein qurbaan gulo bargo saman naafaae aahoue khutan bade chaman buwe chaman naaze chaman noure chaman range chaman saaraa chaman zaar
Ik shahanshah ne bakhshe jo samarkand o bukhaaraa kissi mahboub ke rukhsaar ke til par magar eh Sayyade Aali teri namos teri azmat par
Eh Rassoule Madani eik nahin laakhon hein qurbaan gahe ishq ke har kuchao bazaar me sar apnaa hatheli pe liye phirte hein karne ko nisaar
Aap ke zikr me hein dam masaalaa sare huda kawne arab naghma nigaaraane ajam shawkate alfaaz adab azmate kirtaas o qalam baate sabaa mohje naseen
Dahne bulbule shiri lahane umriyo toti shafe mahtaab sitaare malak o hour jinaa jin ki nawahon me duroodon ka hisaar
Waraf'anaa lakazikrak ki iss aayaa e tawseef ki tawseef me tafseer me tashreekh me tawzikh me tanween me har ehd ki shaamil he zabaan.
Labe Hassan o Ravaahaa wo labe Fatemah Zahraa wo Ali aabide bimaarBusairi dahane ourtiyo jaame labe sahti o razaa sab sar shaar
Ishq ke rang me rang jaae muhajir ho ke pakhtoun balonchi ho ke punjabi o sindhi kissi khitte ki kabile ki zaban isse nahin koyi sarokaar
Jaamae ishqe Mohammad jo pehenletaa he har haar ko wo phool banaa letaa he dunyaa ko jhukaaletaa he kartaa he zamaane ko muhabbat ka shikaar
Ye muhaajir ki he saf aur ye punjaabi ki pakhtoun ki sindhi ki balonchi ki juda par ke dikhao to kissi shehr ki masjid me kabhi eisi namaz
Harame kaabaa me arafaat ke maidaan me ya Rawza-e-Sarkaar pe kyun shaane milaate wahan karte nahin rang ka aur nasl katum apni shoumaar
Yaa Nabi ! Aap ka ye adbi sanaakhwane dare rahmat ka gada detaa he dar dar ye sadaa detaa he Aap se chaahat ka salaa apni zaban me taasir
Soun ke sab ahle chaman ous ka sukhan oun ko bhi aajaae hayaa sar ho nidaamat se jhukaa aur nazar dekhe wo islaaf ki oulfat ka nazaaraa eik baar
Ay Aadeeb Ab youn hi alfaaz ke ambaar me ham doubte reh jaein magar haqqe sanaa goyi adaa phir bhi naa kar paein ye jazbaat o zabaan o kalam o fikr o khayaal
Oun ki midhat to Malaaik ka wazifaa he Sahaaba ka tariqaa heibaadat ka saleeqaa he ye khaaliq ka pasandeeda he Quraan ka he iss me shyaar
19 comments:
Is it written by A'ala Hazrat Rahmatullahi Alaihi?
No,it is written by adeeb raipuri saheb
No
Ye boht khoobsoorat alfaz mai likhe gae hai
No,
Written by #adeeb
No
Subhan Allah
Lajawab kalam
Audio kaha se mileage
pehly shair dusry misry me Farshi nhe qarashi ha...
Abid raipuri ka likha huwa h
I'm asking that why bengali and hindi missing from the Qalam? Is it hate?
I'm asking that why bengali and hindi missing from the Qalam? Is it hate?
Why would you think that? Sometimes in order to balance the weight of a couplet, you cant use some words so maybe thats why he didnt add those languages.
And if we go by your logic, then there should be 100s of languages.
Must not be due to hate, but may be the writer is Pakistani thus mentioned the four provincial sectors.
Maybe!
As, such a beautiful qalam with such pure words cant contain a hateful thought.
They were not missing(Bengali and Hindi),but had been added by Naatkhawñ(Owais Raza Qadri Saahab) while reciting.
Masha Allah bht khoob
Masha Allah
Subhan allah
Masha allah
Nahi. Hazrat ADEEB RAIPURI SB KA LIKHA HUA HAI YE KALAAM
Post a Comment