Bakht-E-Khufta Ne Mujhe Rauzay Pe Jaanay Na Diya
Chashm-O-Dil Seenay Kaleyje Se Laganay Na Dia
Chashm-O-Dil Seenay Kaleyje Se Laganay Na Dia
Aah! Qismat Mujhe Duniya Ke Ghamon Ne Roka
Haaye! Taqdeer Keh Taiba Mujhe Jaanay Na Dia
Haaye! Taqdeer Keh Taiba Mujhe Jaanay Na Dia
Itna Kamzor Kiya Zoa'afa E Quwa Ne Mujh Ko
Paanv To Paanv Mujhe Sarr Bhi Uthane Na Diya
Roz Afzu(n) Hai Marz Kaam Dawa Ne Na Diya
Sharbat-E-Deedar Ne Aur Aag Lagadei Dil Mein
Tapish-E-Dil Ko Barhaya Hai Bujhanay Na Dia
Tapish-E-Dil Ko Barhaya Hai Bujhanay Na Dia
Ab Kahan Jayega Naqsh Tera Mere Dil Se
Teh Mein Rakha Hai Issay Dil Ne Gumanay Na Dia
Teh Mein Rakha Hai Issay Dil Ne Gumanay Na Dia
Mere A’mal Ka Badla Tou Jahannum Hee Tha
Mein Tou Jaata Mujhe Sarkar Ne Jaanay Na Dia
Mein Tou Jaata Mujhe Sarkar Ne Jaanay Na Dia
Nafs-E-Badkaar Ne Ne Dil Pe Ye Qiyamat Torri
Amal Naik Kia Bhi Tou Chupanay Na Dia
Amal Naik Kia Bhi Tou Chupanay Na Dia
Aur Chamakti Sei Ghazal Koi Parho Aey Noori
Rung Apna Abhi Jamnay Sho’ra Ne Na Dia
Rung Apna Abhi Jamnay Sho’ra Ne Na Dia
20 comments:
thank you so much
Kalam e huzur mufti e azam e aalam
Subhanallah
Amazing
Sajda Karta Jo Mujhe Iski Izazat Hoti,
Kya Karu Izn Mujhe Iska Khuda Ne Na Diya.
Subhan Allah
ماشاءاللہ بہت عمدہ اور فکر آخرت کی طرف مائل کرنے
والا کلام. اللہ حضور مفتی اعظم ہند رحمہ اللہ کےدرجات بلند فرمائے اور آپ کے صدقہ ہماری بے حساب مغفرت فرمائے. آمین یا رب العالمین بجاہ حبیبِک سید المرسلین عزوجل وصلی اللہ تعالیٰ علیہ و سلم ... یٰ
Ashique Ala Hazrat
MashaAllah bahut piyara kalam hai ye
मेरे अमाल बदला तो जहन्नुम ही था मै तो जाता मुझे सरकार ने जाने ना दिया
Pav thak jate, agar pav banata sar ko,
Sar ke bal jata magar zof ne jane na diya
Awesome
Mere aamale siyah ne kiya jina ooghar..
Zehar khata tere irshaad ne khane na diya...
What's the meaning of bakhte kufta
What's the meaning of bakhte kufta
Zoa'afa E Quwa meaning ppease?
Thank you show much
Badqismati
Hasrat e sajda yuhi kuch to nikalti lekin
Sar bhi sarkar ne qadmu ma jhukane na diya
Bahut umdah kalam
Ye kin ka kalaam hai
Post a Comment