Wo Suey La Lazaar Phirte Hain
Tere Din Ay Bahaar Phirte Hain
Jo Tere Dar Se Yaar Phirte Hain
Dar-Ba-Dar Yu Hi Khaar Phirte Hain
Phool Kya Dekhu Meri Aankhon Mein
Dashte Taibah Ke Khaar Phirte Hain
Jaan Hain Jaan Kya Nazar Aaye,
Kyu Adu Gird E Gaar Phirte Hain
Unke Ima Pe Dono Bagho Par,
Khaile Lailo Nahar Phirte Hain
Wardiya Bolte Hain Har Kaare
Pehra Dete Suvaar Phirte Hain
Laakhon Qudsi Hain Kaam-E-Khidmat Par
Laakhon Girde Mazaar Phirte Hain
Har Charagh E Mazaar Par Qudsi
Kaise Parwana Vaar Phirte Hain
Baaye Raste Na Ja Musafir Sunn
Maal Hain Rahbaar Phirte Hain
Jaag Sunsaan Ban Hai Raat Aayi
Gurg Behre Shikaar Phirte Hain
Rakhiye Jaise Hain Khanazad Hain Hum
Mol Ke Aibdaar Phirte Hain
Us Gali Ka Gada Hu Main Jisme
Maangte Taajdaar Phirte Hain
Haye Gafil Wo Kya Jagah Hain Jaha
Paanch Jaate Hain Chaar Phirte Hain
Koyi Kyu Pooche Teri Baat Raza
Tujhse Kutte Hazaar Phirte Hain
44 comments:
SubhanAllah!!
ALa hazrath the best!!
subhan ALLAH
KOI KYUN PUCHE TERI BAAT RAZA,
TUJHSE KITTE HAZAR PHIRTE HAIN,
Admin... Please change Maqta as.. .
KOI KYUN PUCHE TERI BAAT RAZA,
TUJHSE MANGTE HAZAR PHIRTE HAIN,
Why should the admin change the lyrics? The poetry is written by Ala Hazrat (Alayhi Rahma) where he is addressing himself as a dog in the court of The Beloved ﷺ and even Taajush Shariah (Mufti Akhtar Raza) has asked the Ulema to not make changes to this Naat Shareef because even tho Ala Hazrat is a Mujadid e Deen e Milat he has compared his status to that of a dog (Subhan'Allah 😢) to show the EXTREMELY HIGH STATUS of RasoolAllah ﷺ peace and blessing upon him and his family and companions! JazakAllah Khair but I would advise u to follow Taajush Shariah's saying and not make amendments to Kalaam e Raza we are no one to change Ala Hazrat (Alayhi Rahma)'s poetry
Merai bhai ye makta sahi or ala hazrat nai aajzi ki tor par ye makta likha hai
Panch jaate hain char phirte hain iska kya meaning h
Panch jaate hain char phirte hain ka maana ye hai ki jab koi wafat paata hai to kabristan me 5 log jaate hain. 4 kandha dene wale aur ek jo wafat paa gaya. to phirte sirf 4 hi log hai.
Aala Hazarat KI Baat Hi Na Pochon Ke Woh Kya Cheez Hai
Koyi kyu puche teri baat raza
Tujhse kutte hazar firte hain.. mere raza ne ye ashar kaha hai ki huzur ke dar k kutte hain. Ye aala hazrat keh rahe hain. Or hum hain ki aala hazrat ke dar ka ek zarra b nahi hai. Ye sher to haqq hi hai or me kehta hoon ki aala hazrat k dar pe mangate taajdar phirte hain.. subhanallah
Koyi kyu puche teri baat raza
Tujhse kutte hazar firte hain.. mere raza ne ye ashar kaha hai ki huzur ke dar k kutte hain. Ye aala hazrat keh rahe hain. Or hum hain ki aala hazrat ke dar ka ek zarra b nahi hai. Ye sher to haqq hi hai or me kehta hoon ki aala hazrat k dar pe mangate taajdar phirte hain.. subhanallah
हाँ ये सही है
well said��
tujhse shayeda hazar phirte hain
Kutte he aayega. Hadayaq-e-bakshish me hawala hai bhai
Beshak bhai sahi h
Jin logon ko samjh nhi aaya hai ki Alahazrat imam Ahmed raza khan fazile barelvi RA ne kutta kiyo kaha to plz niche iss link ko zaror denkhen
Insha Allah aap zaroor samjh jayenge
https://youtu.be/0yB6Ce7gv-8.
Jazakallah'khair
Bhai iska ye mana hai 5jatevhai aur 4phirte hai. Yani hazrihk waqt 5gaye tth aura laute 4 kisi ko waha ki Qabr naseeb hui...
HAYE GAFIL WO KYA JAGAH HAIN JAHA
PAANCH JAATE HAIN CHAAR PHIRTE HAIN
please explain this stanza??
HAYE GAFIL WO KYA JAGAH HAIN JAHA
PAANCH JAATE HAIN CHAAR PHIRTE HAIN
It refers to when the deceased is taken to graveyard. Metaphorically its said that 4 people carrying the body of the deceased. so when they go to graveyard, its 5 persons and when they return, its 4 people. Hence said Paanch (5) Jaate Hain Chaar (4) Phirte Hain
Tujhse Kitnne Hazaar Fir te he Ye He Sahi
Ab har koi puche Teri baat Raza
Tere Ashique hazar phirte bai
Agar kutte ki jagah saida lafz Aa jaye to bahot accha hoga
US GALI KA GADA HU MAIN JISME
MAANGTE TAAJDAAR PHIRTE HAIN
SUBHAN ALLAH ALA HAZRAT ZINDABAD TAZUSSHARIYA ZINDABAD KHWAJA GAREEB NAWAJ ZINDABAD
US GALI KA GADA HU MAIN JISME
MAANGTE TAAJDAAR PHIRTE HAIN
Tujhse kutte hajaar phirte hai is a right one
BhI thoda knowledge sudhaaro aap apna
& Thoda research karo
Yehi baat mere dada pir hoojoor Sarkar e Kalan & oonke pir Hamshabi e Ghous e Azam Ala Hazrat Ashrafi miya ne bhee kahi hai
Bhai thankyou
Saare hi puche teri baat RAZA,
Tere shaida hazaar phirte hain....
Mashaallah
KOYI KYU POOCHE TERI BAAT RAZA
TUJHSE KUTTE HAZAAR PHIRTE HAIN
Well explained,❤️🌺
آپ نے اپنے آپ کو اس در کا کتا شمار کیا ۔وہ اعلیٰ حضرت ہے ۔ اور ہم اُس در کے کُتّے کی خاک بھی نہ ہے۔ ایسے اعلیٰ کُتّے ھے اُس در کے سبحان اللہ
Murde ko dafan karne le jate waqt 5 log hote hain ,4 four le jane wale aur fifth 5wan khud murda aur baad tadfeen 4 hee wapas aate hain murda qabr me dafan ho chuka hota hai.
Koi Kyu poochhe teri baat Raza
Tujh se shaida hazaar phirte hain
Subhanallah
har koi puchhe teri baat raza
tere kutte hazaar firte hai
👍👍
Sahi btaya bhai
Haq kaha
Kutte nahi kitte hai
Old urdu hai jis ke mani hai kitne
Huzur SAWW ke darwaze ke bahir Jo kutte pehre dar Hain. (yaani Aashisq/ghulam Jo Huzur SAWW ki ziarat ke talab gaar Hain). Ala Hazrat kehte Hain, Mai b un Mae se aik Hun. Agr nai samjhe tw apka kasoor nai h bas ishq ka matlab Sikh lo, samajh ajaye ga. Mae tanz nai Kar raha Allah waloon ki Shaan bayan kr raha Hun.
Jazak Allah Khair brothers.
"""Ala Hazrat aajzi ka izhar kr rahe Hain"""
Bhai us Sher ko ab modify Kar Diya hai Woh lehza Aapne Apne liye ikhtyar kya Taha Ayr use ab ham log Nahi pad sakte
Post a Comment