Sabse Aula Wo A'ala Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Sabse Baala Wo Waala Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Apne Maula Ka Pyara Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Dono A'alam Ka Dulha Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Bazme Aakhir Ka Shamae Faraouza Hua
Noor-E-Awwal Ka Jalwah Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Bujh Gayi Jiske Aage Sabhi Mashaley
Shama'a Woh Le Kar Aaya Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Jiske Talwon Ka Dhovan Hai Aabe Hayaat
Hain Wo Jaane Maseeha Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Khalq Se Auliyah, Auliyah Se Rasool,
Aur Rasoolon Se A'ala Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Husn Khaata Hain Jinke Namak Ki Qasam
Woh Maleehe Dilaara Hamara Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Jiski Do Boond Hain Kausaer O Salsabeel
Hain Wo Rehmat Ka Dariya Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Kaun Deeta Hain Dene Ko Muh Chahiye
Deene Waala Hai Sachha Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Saare Achhon Me Achha Samajhiye Jise,
Hain Us Achhe Se Achha Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Mulke Qaunain Mein Ambiya Taajdaar
Taajdaro Ka Aaqa Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم

Zikr Sab Pheeke Jab Tak Na Mazkur Ho
Namakeen Husn Waala Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Jiski Do Boond Hain Kausaer O Salsabeel
Hain Wo Rehmat Ka Dariya Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Jaise Sab Ka Khuda Aik Hai Waise Hi,
Inka Unka Tumhara Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Karno Badli Rasoolo Ki Hoti Rahi
Chaand Badli Ka Nikla Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Kaun Deeta Hain Dene Ko Muh Chahiye
Deene Waala Hai Sachha Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Saare Achhon Me Achha Samajhiye Jise,
Hain Us Achhe Se Achha Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Kya Khabar Kitne Taare Khile Chup Gaye
Par Na Doobe Na Dooba Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Mulke Qaunain Mein Ambiya Taajdaar
Taajdaro Ka Aaqa Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
La Makaa Tak Ujalaj Hai Jisko Wo Hain
Har Makaa Ka Ujala Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Saare Uncho Mein Uncha Samajhiye Jise
Hai Uss Unche Se uncha Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Sab Chamak Waale Ujhlo Me Chamka Kiye
Andhe Sheesho Mein Chamka Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
Gamzado Ko Raza Mushda-Di-Je Ke Hain
Be-Kasoon Ka Sahara Hamara Nabi صلی اللہ علیہ وسلم
30 comments:
BAHUT HI KHOOBSURAT NAAT HAI......
Subhan Allah Boht Achi Naat Hai (y)
Ye Wali Naat Mujy Download Krni Hai Laikin Mujy Nhi Mil rhi Any Solution?
@ Afran Khan
Bhai aap is link se download kar lijiye naat shareef ko
http://www.owaisqadri.com/naats/HUMARA_NABI.mp3
سبحان الله
wow!!!!
mashallah beautiful naat...
KYUN RAZA AAJ GALI SOONI HAI,
UTH MERE DHOOM MACHANE WALE
Vaaahh bohat meza aya mashallah
Ala Hazrat zindabaad
Zaberdust baat kai hain Ala Hazrat Ahmed Raza RA ne ke Allaht'ala ne tamam insaniyat per tamam makhloq per puri qainat per badi Maherbaani aur Rahem farmaya apne HABIB ﷺ ko bhej ker.
Number den me apko WhatsApp krr deta hoon
Bhut khub mere pyare RAZA
Ya ala hazrat.... Ya ala hazrat !!
Subha'nAllah!
Ahle Haqq Ahle Sunnat Maslak E Aala Hazrat Bareilwiyat ZINDABAAD
Yun muskuraye jaan si kaliyon me
Ye wali puri lyrics chhiye
Subhan Allah
Ala hajat ki mohabbet hi yese kuch thi jin par Yeh naat likh dale
Sarkar allhazrat zinda bad
Haven't words KALAME AALA Hazrat ki to bat hi nirali h SUBHANALLAH
सुहान अल्लाह बहुत ही अच्छा नात शरीफ है
आला हजरत का तराना सुनकर झूमेगा दीवाना
Subhahanallah
Maslake Ala Hazart ��
Subhaanallah
Kyun Kahoon Ye Ata Wo Ata Chahiye
Unko Malum Hay Hamko Kya Chahiye
Masha Allah
Ish mohabbat ishq mohabbat AALA HAZRAT AALA HAZRAT
Arshad Warsi
Subhanallah
Ishq e mohabbat ,ishq e mohabbat
Ala hazrat ,Ala hazrat
Mashaallah
Post a Comment